07-15-2007, 02:28 PM
Woh Ghur
[size=3][color=Navy][FONT="Comic Sans MS"]Khushgawaar shaam hai...aur Sani ka jee ker reha tha ke woh Kami per apna sandwhich kheench maare. Jub se woh aur us ke collegues is unjaan se puhaari Muqaam per picnic ke liye aaye they, tub se pata nahin kiyoon, jaise group bundi si ho geyi ho...Sani aik teref aur doosre sub us ke mukhalif. Woh janti thi ke yeh sub Kami ki shuraaret hai, mugur woh birah-e-raast use mukhatib ker ke aur hunsi aur tunz ka nishana nahin bun'na chahti thi, is liye jaise taise ker ke sehti rehi...Mugur ab to hud hi ho chuki thi. Ghusse aur jhullahut ke mile jule ta'suraat chehre per numayan they...aur woh kissi bhi lumhe aape se bahir ho sekti thi...sandwhich us ke haath main pichuk sa gaya tha, jise dekh ker woh saare apni hunsi rokne ki az hud koshishon main they...
Aur phir woh jhutke se uthi aur aik simt chul nikli... Pehle to us ke peeche se qehqahon ka aik toofan utha, mugur jub us ke qadem na ruke to Kami nain awaaz di aur uth ker use rokne ki koshish kee, mugur doosre arhe aa gaye ke use jane diya jaaye, jub ghussa thunda ho ga to khudhi wapis aa jaaye gi. Kami bhi khamoshi se betha gaya mugur us ke chehre se us ki undarooni keifiyyet saf zahir thi.
Woh chulti rehi...aur un sub ko kosti rehi. Kaafi dair ba'd jub us nain nuzrain uthaain to apne aap ko aik bilkul ajnabi mahol main paaya. Ghusse ki jugha tujussus nain le li, aur woh bure inhimaak se apne ird gird ke sur subz aur shadaab durukht aur putton ko dekhne lugi. Shehron ke baasi qudreti nuzaron ko apne computer ki desktop per muzayyan kerne ki hud tuk hi khush rehte hain, aur jub un ka kabhi uchanuk is terha qudret ke dilkush nuzaron se tukraao hota hai to un ki bhi shayed wehi keifiyyet hoti ho gi jo is waqt Sani ki thi.
Sani to jaise kho hi geyi thi, aur woh un qudreti nuzaron se shayed pehli baar itne qareeb huwi thi. Who inhi nuzaron main gum thi ke uchanuk uske peeche putton ki sursurahet huwi. Us per jaise sukta sa taari ho gaya. Woh mur ker dekhna chahti thi mugur yeh khauf ke agar woh hili to pata nahin kiya ho, issi durr nain us ke dil ki dhurkenain taiz tareen ker dee theen.
Kuch lumhe woh issi terha apni saans roke khuri rehi aur sochti rehi, ke uchanuk jhariyon ke under se aik gulehri namoodar huwi aur ain Sani ke saamne a ker munjamid ho geyi. Sani ki to jaan hi chuli geyi thi, aur gulehri ko is terha tuktuki baandhe dekh ker us ki to hunsi hi nikel geyi. Ab gulehri ko shayed shock pohoncha tha isiliye who apni dum zameen se ooper uthati huwi aik simt daur geyi. Sani us ke peeche be ikhtiyaar chul peri.
Abhi us nain chund qadem hi liye they ke us ke saamne kuchi serek namoodar huwi. Us ki aankhain gulehri ka ta