03-20-2006, 08:13 PM
aaj phir sard shaam hai tanhai hai aur yadain hain...ye pechlai kai din sai ho raha hai janai kyon sard shamain mujhe achi nahi lagti hain....janai kyon inhi shamoon mein yadoon ki kasak zayada mehsoos hoti hai....ajeeb haal hogaya hai dil ka...kabhi paraishaan kabhi veraan kabhi to yun lagta hai jaisai is mein kuch hai hi nahi .....sab kuch khali khali sa lagnai lagta hai aur isi sai darti hoon....zindagi khali khali si ho to kaisi bujh jaati hai...magar kya karoon aik baar phir yadoon ka mausam hai...bauhat si aisi yadain hain jo bahar ban kar ati hain aur kuch aisi ko sirf dard ban kar ati hain....haan ye sach hai kai kisi ko yaad karo to hans kar khush ho kar lekin ye har baar mumkin nahi hota hai...har baar yehi koshish hoti hai lekin woh jo beetai bal kai sath sath chor jatai hain na un ko yaad kar kar sirf dard hi hota hai...aik khawahish hoti hai kai kash woh wapas ajain....kash kai jo hua woh na hua hota kaash sab sahi hota....lekin aik ye kaash hi ka jawab nahi milta....
aaj phir mein subha sai yehi soch rahi hoon kai aisi kya baat hai jis sai paraishaan hoon...ye nahi hai kai sath koi nahi hai hain sab..khushyaan bhi hain...hansi bhi phir bhi tanhai si mehsoos ho rahi hai...kabhi akaili beth kar sochti hoon to un sab bichrai sathiyoon ki tasveer nigha mein ghoom jati hai...kabhi un ki batain un ki hansi itni shiddat sai yaad ati hai kai ...........mein ye bhi janti hoon jo bichar gai woh wapas nahi ain gai lekin dil ko kaisai manaoon usai yehi khawahish hai kai aik baar ajain...ye dil bhi na ajeeb uljhan mein daal daita hai...lakh samjhao manta hi nahi ....
sard shamain nahi acheen.....dil to udas hota hi hai ye aur udas kar daiti hain....