03-19-2006, 03:24 PM
...Gulaboon ke Khawahish...
Kitnay hee ghantaoon say barish ho rahi hai.. hawoon mein khunki bhi barhti jaa rahi hai.. subah jab office aa raha tha tu halki halki hawa chal rahi thi.. kitna acha lag raha tha.. pal ko tu dil chaha kay younhee hawain ayain mujh ko choo jayain.. koi sargooshi karain.. taira naam liatee rahain.. neelay asmaan pay tairtee phirtee badliyoon ke tukriyoon say paray kaheen tum muskara rahi thi.. tumhari hansi ke awaaz aa rahi thi... pal ko jhapki hoo gi palak kay sab manzar hee badal gaya.. woh neela asmaan ghanay badloon mein chup gaya kaheen... ik boond aan hathailee pay giri phisli khoo gai kaheen.. !
Mein office mein jahaan baithta hoon wahaan say shahaar bohat door tul'k nazar aata hai.. baray baray ghar aur un say nikaltay chootay chootay bonoon jaisay loug.. ajeeb hai na sab.. aap bulandi pay hoon tu sab bonay say nazar aatay hain.. aur kabhi aap gehraiyoon mein utar jayain tu sab pahaar say nazar aanay lagta hai.. tu phir sab kasoor tu uss muqaam ka howa jahaan pay hum kharay hootay hain.. aur koun kab kahaan pohanchay.. kiyon aur kaisay pohanchay .. kab humaray ikhtiyaar mein hoota hai.. sab kuch hee tu humaray ikhtiyaar say bahir rehta hai.. gar aisa hai tu phir tu humari tu koi woqat hee na hoi.. jab kuch bhi nahi hain tu phir kiyoon itni choti chooti batoon pay itna bara bara sochtay hain boltay hain ? janay kiyon apnay muqaam pay nahi reh saktay hum..... bay baal o par loug hain hum tu baanjh hoon jaisay.. bhala hum kab kuch jun saktay hain.. humaray ikhtiyaar mein tu faqat itna hai kay jo mill gaya aur jo nahi milla uss ko roo layain ya hans lain.. !!
baat bohat purani hai kay mousam tu dil ka hoota hai.. par jab dil kay zakham hee bahaar pay hoon tu koi kaisay bhalla khizaan kay hisaar say niklay.. bhala kab yeah zakham khud say bhara kartay hain.. waqat laitay hain.. jitna gehra zakham utna waqat.. aur kabhi kabhi woh zamkham jo nasoor ban jatay hain.. har waqat ristay rehtay hain.. lakh chahain woh bhar kay nahi daitay.. bhala koi kaya karay un ka.. haan magar dard tu wohi janay jo seenay laga'ye phiray.. haan dikhnay mein baray bhalay lagtay hain.. gulaab rung jaisay.. !!
... Gulaaboon ke khawahish mein hum loug kaisay kaisay gham seenay utaar laitay hain.. kabhi koi dil mein utray tu janay ...
a page from my dairy