03-19-2006, 02:35 PM
Galee mein bachay us kay peechay pagal pagal ke awazain lagaatay bhag rahay
thai.. uss nay pichlay kai maheenoon say kapray bhi nahi badlay thai...
kameez ka chaak udhartay udhartay garaibaan say jaa milla tha.. chahray ka
rung zard patay sa hota jaa raha tha... ankhoon mein jul bujhay khawboon ke
rakh phailee hoi thi.. baloon mein kissi chirya kay tootay ghoonslay kay
kuch tinkay abhi tuk atkay howay thai.. woh apna naam bhool chuka tha sab
uss ko pagal kehtay thai.. woh pichlay kai barsoon say rungoon kay iss
shahar ke galiyooon mein dasht kay safar pay hai..!!
Shahar ke har gali doje say milli hoi thi woh aik gali say nikalta tu aglee
gali mein khailtay bachay apnay puranay khilonay choor kay nai khiloonay say
khailna shuroo kar daitay... yeah khail un kay liyeah sirf jeet hee jeet tha
aur har koi jeetna chahta tha.. shaam phailtee jaa rahi thi aur uss ka badan
pay aur zakhmooon kay liyeah jagaah kam parti jaa rahi thi.. Issi phailtee
sayaahi mein hee kaheen say aik bara pathar aa us kay mathay laga tabhi raat
kay andhairoon us ko hath thaam kay roshniyoon kay jahaan ke taraf safar
shuroo kiya....!! Dard barhta jaa raha tha... !! hut'ta kay dard nay sab
apnay hisaar mein lay liya... ussi lamhay kaif o saroor ka janam howa..!!
Daikha maa uss kay liyeah daisi ghee kay parathay bana kay laye hai...
katoori mein paroos say mangwaya howa sarsoon ka saag apni mehak say uss ke
taloo say lagi zubaan ko tur kar raha tha... sarhaanay baithi behan mathay
pay lagay zakham ko dhoo rahi thi.. aur apnay nazuk hathoon kay sath baloon
mein uljhay jungloon mein ujray ghoonslay kay tinkoon ko nikaal rahi thi..
maan uss ko baita khana khaa loo keh rahi thi us ke ankhoon mein chupa pani
ka woh aik namkeen qatra gawahi dai raha tha kay woh pagal nahi hai.... woh
duniya ka sab say payara baita hai... Chooti behan kay nanhay munay hathoon
ke porain us kay kanoon mein sargooshi kar kay keh rahi theen... Bhaiyaa tum
say acha bhai poori duniya mein aur koi nahi hai... !! Tabhi souraj ke bay
reham kirnoon ke taab na latay howay kamray ke khirki kay sheesha toot gaya
aur aik kaghaz mein lipta pathar masayhree kay pass aa kay gira.. !! uss
kaghaz pay sirf aik lafaz likha tha..!!
!!...Pagal..!!