03-20-2006, 08:10 PM
janai zindagi mein aisa kyon hota hai...jab kabhi bhi lagta hai hamari zindagi hamari hai...aik dagar par chal rahi hai...zindagi mein sukoon hai to janai kahan sai koi aik pal koi aik lamha aisa ata hai kai zindagi bikhar kar reh jati hai..jaisai jheel kai saakt paniyoooon mein kisi nai kankar phainka ho...waisai hi zindagi mein yaad ye rang laati hai....yaad kuch lamhoon ki kuch logoon ki kuch dostoon ki.... hamari zindagi mein hum sai bauhat sai loog miltai hain....kabhi kabhi to sare rah chaltai aisai bhi loog mil jatai hain jin kai bina zindagi adhori sai lagnai lagti hai...woh hain to sab kuch hai jahan woh gai to zindagi udas ho jati hai...ye loog jinhain hum chahai sari zindagi na jaan pai hoon...jo shayad hamarai aas paas hi rehtai ho jinhain dekha to ho magar woh apnai na hoon bas aik pal aik lamhai mein apnai kaisai ho jatai hain...kaisai kuch loog rooh mein bas jatai hain..... kuch loog mausam jaisai hotai hain....atai hain aur chalai jatai hain aur kuch loog tehar sai jatai hain...bas zindagi aisai hi lamhoon mein bani hai....bas aik lamha hi to hota hai jis mein yaan to aap zindagi ko paa laitai hain yaan kho daitai hain..
aaj yehi soch rahi thi...kai mein nai zindagi sai kya paya hai...kya khoya hai...haan sach hai........bauhat sai loog milai hain yahan....kuch achai kuch burai...lekin woh jo rooh mein bas gai hoon jin kai bina zindagi adhori lagti hoon woh bas chand hain....aaj bhi aik aisai hi dost ki yaad ai hai...janai kahan sai woh aik lamha yaad aya hai jab un sai mulakaat hui thi bas aik lamha hi tha aur dil nai faisla un kai haq mein diya tha us kai baad peechai mur kar dekha bhi nahi...aaj us dost ki batain yaad arahi hain bauhat dil kar raha hai us sai baat karloon.......aik baar us sai poochoon suno itnai durr kyon gai ho aur janti hoon woh yehi kahai ga kai kahan gaya....yaheen to hoon aisa hi hai woh khud ki baat nahi kehta kisi sai aur sab ki sunta bhi hai.....woh aik dost jo janai kab kahan kis lamhai mein apna sa laga tha aur aaj bhi lagta hai