03-26-2006, 11:42 AM
Gharay badalon ka gheera tha aur chandh minton may, daikhtay hi daikhtay mosaladhar barish... Chotay say is shehar may afra tafri si mach gai. Saab kisi asi chaath ko talsahnay lagay, jahan ghaari do ghaari asra kiya jai... asay may asman say jori hoi sawali har ankh, barish kay thamnay ka intizar karnay lagi. Saab safar may thay, shaid apni apni manzil ko !!!
Monsoon to asay hi hoti hay na? Achanak gharay badal har simat say uthtay hain, barastay hain, aur phir kahin choop jatay hain, kisi aur din ko laut anay kay liye...
Barish to taizi say ai aur khoob baras kar tham bhi gai. Thori dur aik 'bus stop' tha aur ma is ki janib taizi say chalnay lagi, dil ma yahi khiyal liye kay beshak bheeg to chuki thi par is 'stress' kay baad 'bus stop' kay os geelay 'bench' par ghari do ghari baith kar sans lay sakoon... Hathoon may kuch saman bhi tha. Is 'bus-stop' say din may siraf aik dafa hi 'bus' guzarti thi... 'Bus' kay anay may kuch wakt tha aur achanak 'bench' kay dahnay konay par baithi aik nazuk si larki par meri nazarain ja rukin...
Jesay kisi nay khoobsurat labaas ko baray piyar say tah kar kay almari kay kisi konay may rakh kar, bhola diya ho... Haan, kuch isi tarhan say wo 'bench' par baithi thi... Apni thaki hoi tangoon ko bazoon kay mazboot halay may simataye, guthno par shekasta sar dharaye... Peeli si rangat aur yadoon ka lambah, geelah, neelah 'coat' aurhay... Pairon ki musafat, raah may milay haseen gunahon ka raaz bata rahi thi... Bekhiyali may neem khuli ankhain, jin may thamay thamay say intizar kay do ansoo asay liptay thay, jesay bohat zoar shoor kay baad monsoon ah kar inhi ankhoon may tham gai ho, kisi aur din ko laut anay kay liye...
Ma abhi is alhar si larki ko tik tiki laga kar daikh hi rahi thi kay achanak 'bus' ah kar ruki. Socha 'bus' may baith kar is larki say kuch sawal, kuch baatain karon gi... 'Bus' lamha bhar ko ruki aur chal parhi, may kirkhi say hiraat may os bench ko aur os larki ko daikhti gai, jo is 'bus' may charhi hi nahi, akhir kion ?
Ma to apni manzil apnay ghar pohanch gai, par rah rah kar os tanha si larki ka khiyal sari raat atta raha, satata raha...
Apni roh aur jism may bhatakti hoi... Khoi hoi dewani si... Shaid meri khani si...
Bari jani pehchani si...
Akhir ... Wo thi kon ?.?.?
Akhir ... Wo thi kon ?.?.?