03-19-2006, 12:06 PM
Intazaar khatam na howa aur shaam aa gaiee... khirkee kaay saath aan lagay aam kay pair pay basee chiriyaan ik doojay ko tamaam din ka haal batatay batatay thak gaieen tu raat ke khamooshi ko sun'nay lageen.. khamooshi nay yadoon ke qaba orhee tu mairay tareek kamray mein kitnay hee taray jagmaga uthay.. par taroon ke jhilmilahaat kab hijar ka andhaira door karti hai.. andhairoon mein khoo janay ka khoof palta hai.. mumharay khoo janay ka khoof.. !!
Tamaam raat inhee taroon ko taktay guzar jaati hai.. shaid tum aaj bhi masroof rahay hoo gai.. shaid waqat nay uljha rakha hoo ga tum ko.. shaid halaat say lar rahay hoo gai aab tuk.. shaid har pal yaad kiya hoo ga mujh ko.. bhooolay nahi hoo gai kissi pal laykin.. haan fursat na milli hoo gi tum ko.. !!
Taroon ke rooshni madham howay jaati hai.. !!
Yeah kaya wehshat hai mujhay.. jawan hoi jaati hai.. raat kay pichlay pehar.. jaanay kis darz say waswasoon ke yukh bawa.. mairay kamray mein dar ayee hai.. dil hai kay band howay jaata hai.. saans hai kay qaboo mein nahi aati.. khoon lagta hai ragoon mein jamaay jaata hai.. yeah tairee yaad hai kay mairee jaan khinchay jaati hai.. !!
Mairee Jaan.. !!