[COLOR="#0000FF"]'' Maa'n Ka Lams ''
Duniya Mai'n Mohabbat Owr Shafqat Say Ziyada Achcha, Shifa Bakhsh Owr Rahat Afza Koi Jazba Nahi...
Mohabbat Ka Jazba Hi Zindagi Hay, Khushi Hay Owr Hamaray Wujood Ki Bunyaad Hay...
Bouhat Say Zehni Amraaz Honay Ki Bunyadi Wajha Sirf Yahi Hay Kay Ziyada Tar Maao'n Nay Apnay Bachcho'n Ko Seenay Say Laga Kar Loriya'n Day Kar Sulana Tark Kar Diya Hay...Na Hi Woh Ab Apnay Bachcho'n Kay Saath Khud Khailti Hai'n Owr Na Hi Unhai'n Jhoola Jhulati Hai'n...
Yeh Jadeed Nazariya Kay Bachcho'n Par Jitni Kam Tawajoh Di Jaey Un Kay Haq Mai'n Utna Hi Behter Hota Hay Owr Woh Aik Mazboot Shakhsiyat Kay Haamil Hotay Hai'n, Yeh Aik Intehaai Sharr Pasand Nazariya Hay Owr Aesi Zaalim Maao'n Kay Zehen Ki Ikhtira Hay Jo Apnay Bachcho'n Ki Parwarish Ki Zimmay Dari Say Jaan Churana Chahti Hai'n...
Maa'n Ki Qurbat Owr Us Kay Lams Mai'n Jo Taqat Hoti Hay Woh Bayaan Nahi Ki Ja Sakti...Maa'n Ki Yeh Mohabbat Bachchay Ki Jismani Owr Nafsiyati Nash.O.Numa Mai'n Ham Aahangi Paida Karnay Mai'n Sab Say Aehem Kirdaar Ada Karti Hay...
Woh Bachchay Jin Ko Apni Maao'n Kay Bazuo'n Ki Garmi, Mohabbat Ka Lams Owr Mohabbat Bhari Loriya'n Naseeb Nahi Hotee'n Woh Shadeed Aehsas-e-Mehroomi Owr Tanhaai Ka Shikaar Ho Jatay Hai'n Kiyu'n Kay Shuru Say Hi Yeh Aehsasaat Bachchay Kay La Shaoor Mai'n Paiwast Ho Jatay Hai'n...
Woh Loge Jo Khud Gharaz, Jaabir.O.Zaalim Hotay Hai'n Owr Adam Tahafuz Ka Shikaar Rehtay Hai'n, Un Mai'n Say Ziyada Tar Ka Bachpan Maa'n Ki Maamta Say Mehroom Hota Hay...
Yaqeenan Koi Maa'n Bhi Aesa Hergiz Nahi Chahay Gi Kay Us Kay Bachchay Jawaan Ho Kar Aik Ghair Mutawazin Shakhsiyat Kay Haamil Ho'n...
Sab Maao'n Ko Ghowr Karna Chahiye Kay Kahee'n Woh Apnay Bachcho'n Ko Zaalim Owr Jaabir To Nahi Bana Rahee'n?
Khuab-e-Ghaflat Say Jaag Jaaiye Owr Apni Mohabbat Kay Khazanay Apnay Bachcho'n Par Luta Dijiye Kay Is Kay Sab Say Ziyada Haq Daar Wahi Hai'n...
(H?ya)[/COLOR]