04-01-2006, 02:59 PM
![[Image: tarteeb17az.gif]](http://img460.imageshack.us/img460/9893/tarteeb17az.gif)
*~Tarteeb E jaaN*~
jab zindagee main mujhey mohabat k ahsas ney choua to main ny socha iss lams k ahsas ko aurh loon ya rehney
doon...??mohabat ko apni zaat main jazb karon to kaheen zaat laa pata na ho jaye...mohabat sey daman bacha loon to kaheen mohabat bhi
hameysha k liye daman na bacha jaye...gikar o guraiz k kayi mousam yehi sochtey guzar gaye....
zindagee k iss mour pey aa kar mujhye tarteb e jaaN k marhaly bohat kathan bohat dushwaar mehsoos
hoye....
aur tarteeb e jaaN k marhaley they kia bhala...??
khushi aur gham k taaney baaney sey apni zaat bun'na...in bikhrey hoye taanoN baanoN ko
yak jaa kar k zaat ki dabeez chadar bun'na , jo zindagee k sard o garam mousam main aik mehfooz
panah gaah sabit ho sakey....yehi to tarteeb e jaaN tha...
main samjh hi nahi paa rahi thi k mohabat ko bunayi main shamil karon ya rehney doon
agar shamil karon to kis zaaviye sey...khushi k ya gham k...???
aur agar shamil hi na karon to kia iss ahsas k begher meri zaat ki takmeel mumkin ho sakey gi....???
phir youn hua k guraiz ka lamha bey samar guzar gya..aur fikar ney gawahi di k mohabat k
ahsas ko bunayi main shamil kiye behger zaat ki takmeel mumkin nahi.....
tab main ney din raat mohabat ko apney wajood main aur apney wajood ko mohabat main pirona
shuroo kar dia,...meri zaat k dukh ka taana....mohabat k sukh k baaney main pevaast honey laga....
bunayi takmeel ki hadh ko pohanchi to dono siroN ko joar kar yakjati ki khaatir aik girah dey di...
bas wohi to din tha meri zaat ki takmeel ka....zaat k dukh aur mohabat k sukh jab sey hi to
baham pevassta hain....dono ko aik dosrey sey juda karna mumkin nahi....agar wo girah khul gayi...to tarteeb jaaN
nahi rahey gi...meri hasti muntashir ho jaye gi....aur baqi kuch nahi bachey ga....
so zaat sey mohabat ka , aur mohabat sey zaat ka ikhraaj , merey liye ab mumkin nahi raha...
k main tarteeb main inteshaar sey darti hoon .....!!!