03-20-2006, 09:33 AM
Thak gya ..!
Sisak sisak ker hee jaon ga jahan sey
Yun lagta hey key meri halat wasey hee hey jasey kisi khandir main kahin koi purana mandir ho jis ko laga aik aik pathar iltaja ker raha hey cheekh cheekh ker keh raha key ab jaan nahi rahi mujh main mat paon rakho mujh per mat rondoah mujhey key ab sah nahi sakta key ab thak chuka key haar gya hoon mein Jeetey ho tum ..!
Haan mujh main aur us mandir key patharon main koi farak nahi .!
Yun lagta hey key jasey main us sookhey huye patey ki tarhan hoon jo apni rangat bhi kho chuka jis main jaan bakee nahi aur hawa key asrey kabhi yahan toh kabhi wahan ..! kabhi dil chaha kisi ney pyar sey zameen per sey uthaya kuch daer khela dekha aur phir jin hathon sey uthaya unhi sey masal deya usi patey ki chir charaney ki awaz jo us patey key liye takleef hey per kisi ki khushi ka baiz ban gaii , Gar kisi ney uthaya nahi toh paon rakh ker masal ker gya key shayad us sookhey patey per chalna acha lagta hey ..! !!!!!
Haan mujh main aur us sookhey huye patey main koi farak nahi ...!
Yun lagta hey key jasey main kisi qabristan ki us purani tooti hui qabar ki tarhan hoon key jis ka gunah gaar murda jism apna azab toh pa ker reha hua per qabar wahin ki wahin hey ..! Loag jo atey hein apnon sey milney usi qabar ko thokerein martey huye guzar jatey hein ..! baey jaan hey na qabar boley gi toh nahi .! par woh qabar bhi herangi sey un ko dekhti hey kehti hey key kyun ? mera kya kasoor tha ? mujh mein para woh murdar jism bhi riha hua mana key woh gunah gaar tha mana key us ko azab tha per main ? main hee kyun akhir ? main toh pehley sey hee toot chuki ..! main toh pehley sey hee bad hali mein phir bhi ? per sunta kaun hey koi bhi toh nahi sab thoker lagatey hein janein an janey main aur chal detey hein ..!
Haan mujh main aur us tooti hui purani qabr main koi farak nahi ..!
Haan mujh mein aur tootey huye khwabon main , bikhri hui khwahishon main , an ginat hasraton main koi farak nahi ..!

Haan koi farak nahi..!!!!