03-20-2006, 09:30 AM
Aj aisey mehsoos hua key woh jo ik jung main barson sey lerta a raha haar gya ! kuch aisey mehsoos hua jasey merey andar sab toot chuka hey bikhar chuka hey , kuch aisa key jasey kismet ney aaj hee ka din dekh rakha tha merey liye , key jasey aaj hee yeh sab hona tha , kis ko ilzam doon ga mein ? kisi ko bhi toh nahi sab kuch apna hee toh hey sab merey hee hisey ka toh hey , yeh mujhey milna hee tha , aur wasey bhi mujhey soch lena chayeh tha samajh lena chayeh tha key yeh sab mera nahi is per kahin bhi mera haq nahi kahin kuch bhi toh nahi hey , kyun nahi socha yeh mujhey sochna chayeh tha per nahi chal ja raha hoon apni hee mauj main apney hee rang mein dhalney chala hoon duniya ko gira na ? gira muun key bal ja gira main aisa key uth bhi na sakon ga aur sach toh yeh hey key ab utha bhi nahi jaye ga chahey laakh koshish ker dalo !!
Yehi sab yehi sab phir sey ik baar merey agey aik khali khandar sey makan ki tarhan khara hey main isey apney dil ki ankh sey dekhta ja raha hoon sochta ja raha hoon sunta ja raha hoon isi ko likhta ja raha hoon , aaj phir wasa hee sama hey shayad phir sab wasa hee , aaj wasey hee toota hoon aur ik baar nahi doh baar koi kehta hey key " Tenu ik lagey tun janey " koi mujh sey a ker kyun nahi poochta key aur kitni ? bas ker doh ab toh bas ker doh nahi saha jata hey mujh sey yeh azab nahi saha jata , khud sey aisey hee baat kerta ja raha hoon main wohi band kamra wohi main per aaj mein chand ko nahi dekh raha aaj khirki bhi nahi khuli aaj andhera bhi nahi per haan ab shayad ik ansoo zaroor hey jo nikla aur meri hee jholi main gir kar

Kahin g'um ho gya