03-19-2006, 08:03 PM
Dukh ki chokhat per dard ki lal'tain ki lo' taiz keye... wo apney zaat k gho'r knwain main na-janey kya dhondhney ki sai-e na-kaam kar raha tha .. us ki aankhain qehet-zada theen jaise un per kabhi khwaab sahab sourat ghirey hi na hoon..... ya shaid sarey khwab jila-watan ho gai hoon..... ya shaid khwaab azab ki sourat nazil keye gai hoon...
kehtey hain k pichley waqtoo main na'farmaani karne waloon main Rab-ul Izzat ki janib sey qeher'e azeem nazil kiya jata tha ... shaid sapnoo k mehel bananey ki padaash main us k khwaboo ko bhi naist-o nabood kar diya gaya tha.... us k khwaboo ki sar-zameen banjh kar di gaii thi...
wo khwaboon ki qabar main bewaoon ki tarha bain karta paya jata tha aksar .... usey yoon dekh k main lamha bhar ko thitki
Suno! khwaboo k rasiya ho?
Nahi khwaboo k dasa hoon
Khwaab ka daman chor bethey ho?
Aas ka daman chor betha hoon
Aas pe yaas ka saya tu nahi par gaya?
yaas ka mousam taweel tar hota ja raha hai guzarta hi nahi
aisa mousam taweel ho jay tu rang phikey parney lagtey hain
main rangoo ki pehchaan ganwa betha hoon ... apni pehchaan ganwa betha hoon........ khwaboo ka lams ganwa betha hoon .... sab kuch hi tu ganwa betha hoon.... mehez aik khwaab k pechey..... sab kuch.... apna sab kuch.
wo ye keh k aankhoon pe aansoo ki bukal maar k chal para aur main sochti rahi k Aas ki bail ko yaas ki demamk lag jai tu ugney waley sab khwaab zard hi kyu ugtey hain akhir...
--------------
Shagufta Basit
23rd Dec,2005.