Image ko Full Size mein kese post karein ( FAQ: Mere image Resize kyon kiye gaey hain ?)
App pehly hi jaan chuke hain k jab aap " photo gallery " par apney images
upload krty hain tu iss ka size chhota ho jata hai
( sirf oss waqt agar aap k image ka size bara ho tu)
" Urduworld Photo Gallery " mein hum iss bat ko yaqeeni bnatay hain k images
apni munasib jagah par hon aur hum ne har user ka " File loading time "bhi
manasab rakha hai .Yahan tak k dehaat mein rehny wale users k liye bhi
jo " dialup connction " use karty hain ... Iss maqsad ko hasil karne k
liye hamein iss baat ko yaqeeni banana chahye k image ka size chhota hi
rahy ga .yahan tak k jab users bara image bhi upload karein tu
( jase k aap mein se aksar karte hain) hum osee bare size k image
ko medium size mein save karein takeh wo image jaldi aur aasani se load
ho saky . ilawa azein ye tariqa " Bandwidth " ko save karne mein bhi madad
deta hai aur " Urduworld " ko mazeed professional banata hai.
abb sawaal ye hai k aap image ko large size mein upload kar rahe hain aur
wo image photo gallery mein " Medium " show ho raha hai .tu
"large Size image " kahan gya ? aur oss "large Size image " ko thread mein
kese post karna hai ?
Sab se pehle deikhte hain k jb aap "large Size image "upload karte hain
tu kia hota hai ? Ye image iss tarah dikhaee deta hai ...
![[Image: How-to-Show-Full-Size-Image.png]](http://forum.urduworld.com/photo/data/500/How-to-Show-Full-Size-Image.png)
Aap deikh sakte hain k " Direct Link " mein red colour ka folder " medium"
show kar raha .agr aap issi image ko full size mein deikhna aur post
karna chahtay hain tu aap oss URL mein se "Medium" ko remove kar dein .
abb aap ka image full size mein dikhaee dy ga .
Hum App ko bahut jald detail se bataein gy k thread mein image kese post
kiya jata hai.