03-19-2008, 06:27 PM
fikr ki taufeeq hai nay taaqat-e-guftaar hai
dil ko phir bhii aah-o-zaarii par ajab israar hai
ilm-o-fan, mashq-e-suKhan aur aagahee kaafii naheeN
she'r kehne ke liye kuchh aur bhi darkaar hai
bazm-e-hastii ke mu'amme kaun samjhaaye kise?
yeh ko'ii maktab naheeN, yeh aalam-e-asraar hai
yeh woh Khitta hai samaNdar bhii jahaaN pyaase rahe
yeh woh bastii hai maseehaa bhii jahaaN beemaar hai
yeh woh gulshan hai jahaaN shaakheN bhi shamsheereN hu'eeN
yeh woh khetii hai jahaaN baadal bhi sho'la-baar hai
kyaa zaroori hai k har shai Theek daamoN meiN bikey
yeh ko'ii maNDii naheeN, yeh Misr-ka-baazaar hai
aashiqii se to kayee barsoN ka thaa ukhRaa hu'aa
"ziNdagii se bhii miraa jee in dinoN be-zaar hai"!
daf'atan bazm-e-tasawwur meiN chiraaGhaaN saa h'uaa
yaa koi bijlii girii yaa taabish-e-ruKhsaar hai
phir gulistaan-e-vafaa meiN sarsaraahaT sii hu'ii
yaa naseem-e-sub'h-gaahii yaa tirii raftaar hai
phir mire qasr-e-tamanna meiN bajeeN shehnaaiyaaN
phir kaheeN naGhma-saraa paa-zeb ki jhankaar hai
phir dimaaGh-o-dil pe chhaa'ee kaif-o-mastii ki ghaTaa
phir nigaahoN meiN wuhii aks-e-jamaal-e-yaar hai
sun ke merii she'r-kh(w)aanii us paree-vash ne kahaa
shaa'irii achchhii hai lekin aadmii be-kaar hai!