03-19-2006, 12:29 PM
~**...Gaaf Gadhay...**~
Gadhay har jagaah paye jatay hain.. humaray dais mein in say baar bardaree kay kaam liya jaata hai.. uss ke wajaah in ka gadha hoona batai jaati hai.. in kay mahboob tareen kamoon mein charna aur dolatiyaan marna shamil hai..!! dolatiyaan marna in ke wahid entertainment hai..!!
Yeah daikhnay mein aik jaisay hee hootay hain... aur harkattain bhi aik jaisee hee kartay hain.. Kahaa jaata hai kay in ka taluq guzray waqtoon mein ghoroon say tha.. magar gadhoon jaisee harkaat ke wajaaah say yeah mehaaz gadhay reh gai hain.. ghoroon say in ka taluq ab hasraat ka reh gaya hai..!! kuch gadhay issi shouq mein gadhay say khachaar ban jaatay hain..!! Aur phir gadhoon kay rajay kehlatay hain..!! Khacharoon ke harkaat gadhoon say kissi toor mukhtalif nahi hoti.. wahid faraq distribution of power ka hoota hai..!! aur gadhay iss baat ko bakhoobi samajhtay hain.. issi liyeah jab yeah aik kaflay ke sourat mein chaltay hain tu khachar sab say aggay hoota hai aur gadhay us kay peechay aik line mein chartay chaltay hain..!! Gadhay kiyon kay taiz bhaag nahi saktay aur in ka wajodd gadhoon wallay boojh tallay daba rehtay hain.. iss liyeah yeah har subaq raftaar ko tasub ke nazar say daikhtay hain..!!
Gadhoon ke pehchaan kuch ziada mushkil nahi hai.. bazahir yeah khamoosh rehtay hain.. shaaz o nadar he in ke awaaz sunaee daitee hai.. haan magar jaisay hee kissi aik gadhay ke poonch pay kissi rah chaltay ka paoon aa jay.. aur uss ke dhaay'nchoo dhaay'nchoo nikaal jaye.. tu saray gadhay ikahtay hoo kay uss ke awaaz mein awaaz milla daittay hain..!! Kiyon kay rungat gray hootee hai iss liyeah in ko har rung gray shade mein hee nazar aata hai.. agar koi in kay mahool mein rung bhar day tu yeah us ko rung mein bhang samajh kay chillana shuroo kar daitay hain..!! choonkay gadhay hootay hain.. iss liyeah jo baat baki sab aaj samajhtay hain yeah doo din kay baad samajhtay hain..!!