04-25-2006, 01:12 PM
Ussay Barishon Se Mohabbat Thi
Raat taqreeban bheeg chuki thi jab barish ki pehli boond ne zameen ke qadam choomay thay...barish ki boonden tezi ke saath zamee'n se lippat rahi thee'n aur unn ki iss shiddat mein izafa hi hota ja raha tha....Janay hamara barish se kaisa rabbt hai ke ye jab bhi hoti hai to zameen ke saath saath dil ki dharti bhi bhigo jati hai...Hum se naraz ghaat lagaye hamari mukhalif kuch yaaden hein jo hamaray be'dard aanso'on ko saath mila ker hamaray iss dil ko bohat tarpati hein aur barish ka jashn ik aisay pani ke saath manati hein jo kehnay ko to masoom sa ashk hai magar janay ye kaisa pani hai jo aag bujhata nahi lagata hai.
Barish ke aasaar to kab se nazar aa rahay thay magar janey kyun dil-e-khush'fehm ko umeed kum hi thi ke aaj jhari lagay gi....hamesha ki tarah uski ye khush'fehmi bhi jald hi damm tor gayee. Barish ki shiddat mein izafay ne mere kaam mein bhi tezi paida ker di thi....mujhe musalsal kaam kertay agar 12 nahi to 11 ghantay to ho hi chukay thay...magar abb bhi kuch kaam baqi tha...mein ne jaldi jaldi kaam iss hadh tak mukamal kiya ke jo reh gaya wo kal ker sako'n ... aur daftar se nikal aaya.
Barish her jagah apna rung khoob jamanay ke baad kuch sasta rahi thi aur abb halki boonda bari ka silsila jari tha....Subah ke 3:37 ho rahay thay..sarke'n sooni thi..sara aalam khawabon ke safar per gaamzann tha...main bhi khawabon ke safar per nikal para..farq sirf itna tha ke mein jagti aankhon se khawab dekh raha tha.
Barish phir se zor pakar chuki thi...paon mein khula joota..unn mein kuch phattay kuch sillay moazay aur phir garmiyon ke kapro'n per eik halki se purani jacket...ye sab sardiyon ki barish ka kahan muqabla ker saktay thay....nateejatan, jism sardi ke haaton musalsal shikast kha raha tha aur thandd markay fatah kerti dil tak pohanchany hi wali thi.Magar mein yadon ke jis safar per rawana ho chuka tha uss se abb mujhe koi nahi rok sakta tha (aaj tak to aisa hi hua tha)....thakan aur beemari ke ba'wajood mujhe chaltay chaltay 25 minute to ho hi chukay thay...ghar to daftar se 5 minute ki doori per hi tha magar mein iss waqt dil ke talism mein tha jo aksar mujhe aisi sazayen de ker aazmata rehta tha...aur main bhi wafa per aaj tak qayyam uski her saza her zidd poori kerta aaya tha.
Barish ke dino mein ... kuch gham-e-dauraa'n kuch gham-e-jaana...jab inn dono ka saath ho to main aur mera dil gumshuda mohabbat ko khojnay nikal partay hein aur ye samajhtay hein ke shayad gham-e-doraa'n ka ilaaj bhi isi mein millay....WO bhi kuch aisa hi din tha ... main dil ko samjha samjha ker thak chuka tha aur ye soch raha tha ke janay abhi aur kitna chalna paray ga..ke wo hua jo kabhi socha bhi na tha...dil ruka ... mein hairan hua...mujhe hairan-o-pareshan chor ker wo tarap ker wapas palta...aur tez tez chalta uss jagah aa pohancha jahan kuch din pehlay ik hosh'ruba se achanak mulaqat huyee thi...wo samandar paar ki rehnay wali kuch panay kuch ker dikhanay ke khawab aankhon mein sajaye waqt ke ghoray per sawar maazi ko peechay chorti mustaqbil ki baaten kerti kaamyabi'on ki simtt tezi se rawana ik shokh-o-chanchal larki thi. Bus aisay hi achanak sar-e-raah mil gayee thi...kuch pyar se uss ne has bol lia tha aur dil issi per khush ho gaya tha..yunhi mulaqaten kuch aur barhee'n...kuch mera poocha gaya kuch apna bataya gaya aur silsila barhata gaya. Ussay barishon se mohabbat thi...kehti thi
"mera bas chalay to tamam bars barishon ka mausam teher jaye aur phir mein parinda ban ker unn barishon mein yahan se wahan urti phiron" ... main uski iss bholi si masoom khawahish per muskura dia tha.
Magar dil ki betabi per main hairan tha...jis ko pana hi nahi..jis ka milna hi na'mumkin to phir uss se mohabbat kaisi...yehi sochta raha aur uss se kuch gardish-e-ayyam se aankh churanay ko milta raha...kuch zayada to uss se mulaqat na rahi thi na hi kuch aisa khas rabbt tha... aglay hi mor per shayad judai intazar mein ho..dil ko ye bhi samjha rakha tha... magar phir bhi.....haan phir bhi jab dil achanak barso'n ke dukh dard yaaron ko chor ker uski janib tarap ker palta to meri aankh hairaan huye bina na reh saki..main ne bhi aankh ka hi saath dia aur dil se pooch lia
"Jab paon ki thakn...raston ki shakan..seenay ki jalan..saanson ki ghutann...shab bhar barasta sawan...thandd ka kafan...zakhmon ki aggan...aur pal pal uththi ye chubhan bhi tera rasta na rok saki...tu ajnabi ban ker apnay hi ghar ko chup chap peechay chor aaya...to phir ye achanak aaj aisa kya hua ke itni mushkilat bhi jab teri rah ki dawar na ban saki..tujhe na rok saki...to phir ik ajnabi (jissay milay chandd din huye aur shayad chand din hi aur millay) ke waastay tu loat aaya.Tu ne to kabhi kisi ki sada per wapsi ikhtiyar nahi ki to phir jis ne pukara hi nahi tu uss ke liye palatt aya ??...wo jo daastan-e-guzashta hai..tera dard to sirf ussi se wabasta hai...tujh per jo udasi taari hai...wo to hadd-e-abadd tak jari hai..yehi kaha tha na tu ne mujh se..to phir ye kaisi shiddat hai jo tujhe wapas mor layee hai..tu ne ye bhi na socha ke iss mein teri ruswai hai..Bol ey dil...ye kaisa nasha hai ye kaisi taaqat hai??"
dil ne bus itna kaha aur chal para ke ... yehi to mohabbat hai...yehi to mohabbat hai
Main dil ke iss jawab per be'yaqeeni ki sar-zameeno'n per hairan-o-pareshan khara ye soch raha tha ke main ne to bohat roka tha bohat pehray bithaye thay to phir ye sab kaisay?...najanay kab kahan aur kaisay uski mohabbat mere rag-o-pay mein sara'eyat ker gayee thi ... wo mujhe maat ker gayee thi.
Main uski mohabbat ke haaton shikast khaye jab aankhon mein be'yaqeeni aur dil mein iztarab liye uss ke samnay pohancha to mera iztarab bhaanmp ker uss ne kuch sawal kiya..main ne najanay kya jawab diye magar itna yaad hai ke jab uss ne ye kaha "tumhen to mujh se mohabbat hai" to mujh per ye bheidh khula ke wo masoom aur bhooli si larki to aankhen parh ker dil ka haal batanay ke fun se bhi waqif hai ...aur main uss ki mohabbat ko maat kernay chala tha...abb inkar ki koi wajah baqi na thi.. main ne ahistagi se sir jhuka dia. (Shayad wo apni fatah per muskara rahi thi)
Mohabbaton ke silsilay kuch aur barhatay gaye...wo bari tezi se mere dil ke aasmaan per ghata ban ker chah gayee...dil bhi thora thora khushi ke naam se wakif honay laga aur judai se be'khabar hota gaya... phir achanak judai ko jaisay dhaiaan aaya aur uss ne barh ker rasta rok lia...udasi ne bhi moqa paya aur mann mein dairay daal diye...main be'bus ho chuka tha aur wo ... wo to panion ke safar per nikli thi ussay to barishon se mohabbat thi..zara si deir ko mere dil ke jazeeray per utri thi aur phir se urran bhar chuki thi...aur main yehi samjhta raha tha ke meri mohabbat ka talism ussay apni bahon mein jakkar le ga aur rok le ga...magar wo jis tarah achanak hasti muskurati mili thi waisay hi khush khush chor ker ja chuki thi...uss ke nazdeek gham-e-wafa kuch bhi na tha ...had-e-abadd tak abb phir se tanhai thi.
Janay ussay kabhi hamari yaad aayee ya nahi magar hamaray pass se to uski yaad kabhi gayee hi nahi....ussay barishon se mohabbat thi...aaj hamari aankhen bhi to ik barasta sawan hein jo din raat behta hai...abb agar kabhi...shayad kabhi wo loat aaye to hum ussay dikhayen gay ke uski khawahish hum ne poori ker di hai...hamray bus mein ye to nahi tha ke tamam aalam mein tamam bars barishon ka silsila rahay haan itna zaroor tha ke hamari aankh mein barish ka mausam teher jaye...so hum ne wo kia...magar wo kabhi dekhnay nahi aaya ke hum ne ye barish kabhi thamnay nahi di ... hamari bheegi aankhon mein ussi ka aks jhilmilata hai jo parinda ban ker yahan se wahan urta jata hai.
Ye barish jab bhi hoti hai ... wo aur bhi shiddat se yaad aati hai aur hamari aankhen bhi thamna bhool jati hein...bus barish se hamara yehi to rabbt hai ke ye jab bhi hoti hai to zameen ke saath saath dil ki dharti bhi bhigo jati hai...aur kyun na ho ye rabbt.....
"Mujhe uss se to ussay barishon se mohabbat thi"
.____________________________.
Maza barsat ka chaho to inn aankhon mein aa betho........
Wo barson mein kaheen barsen ye barson se barasti hein