03-20-2006, 09:50 AM
Angrezi zaban ka yeh lafz jis ka matlab key kisi qabil nahi koi keemat nahi kisi ko is ka ahsas nahi kuch bhi keh lo buray sey bura matlab nikal lo toh yehi lafz ka matlab ban jata hey ..!
Yeh aik lafz toh hey hee hey per shayad aik ahsas bhi hey jis key honaey ka har kisi ko koi shoak nahi hey kisi ko khushi nahi hey is ahsas key honaey ki per phir bhi kaye loag is lafz ko khud per hawee kye huye hein ...! janey kyun ..! Itna hassas hona acha nahi hota per yeh baat apni jaga sach hey key darguzar hona nazar andaz honay main jo dard jo choat hey wohi choat wohi dard is baat ka ahsas dilatee hey is lafz ko kisi ki zaat per hawee kerti hey, khwa woh koi dost he kyun na ho khwa woh koi sagey sey barh ker hee per jo koi bhi nazar andaz kerta hey woh yeh kyun bhool jata hey key woh kisi ko choat dey raha hey kisi ko janey kitni takleef dey raha hey..!
Aisa kuch mausoom logon key saath ho jata hey ..! aur kuch loag aisey hotey hein jo doosron ko dard detey hein aur doosron ko dard aur takleef detey huye is baat ko bhool jatey hein key kal ko gar un key saath aisa hua toh kya ho ga kya woh wohi takleef wohi dard mehsoos ker sakein gey ? ..! main bhi shayad aik aisa hee insaan hoon jis ney doosron ko dukh takleef deney sey pehley toh na socha per jab khud ko choat lagee toh lagey haye haye kerney ..! apni mausoomiat apney akeley pan ka dhindhora peetney ...! koi merey gireybaan ko pakar ker kyun nahi poochta key jab main ney yeh sab kya tab mera zameer kahan tha, kyun murda ho chuka tha woh .! aaj jab merey saath hua toh main dard bharee ahon sey bheegi ankhon sey duniya ko dekhta hoon madad mangat hoon kyun ?
Jab main ney kisi ka dil dukhaya toh tab yeh kyun nahi socha key kal ko jab koi mera dil dukhaye ga toh kya ho ga ..! kya main woh choat woh dard woh karb sah paon ga ? Khud sey sawal kertey kertey main khud aik sawal ban gya .! aik aisa sawal jis ka koi jawab na tha .! sab ko gird pa ker bhi main tanha hee raha kyun ..! khud per itna gharoor kis waqt raha tha mujhey jo ab yeh saza mili .! koi apna jo dil key kareeb ho woh jab nazar andaz ker dey toh aisa hee hey jasey kisi ney dil ko daboch ker jisam sey jaan nikal li ..! seeney main haath daal ker rooh ko khench lya ..!
Aina phir mujh jasey logon per hasta hey kehta hey keh kya dekhtey ho ? kya dekhtey ho tum aaey maghroor admi aaj jab khud ko choat lagii jab khud ko dard hua toh lagey chilaney ..! per ab kya ho ga kuch bhi nahi wohi tum ho wohi duniya hey dilon main janey ka rasta zaroor hota hey per jab koi apney dil sey nikal ker phenk dey toh sadeyon dastak detey raho wapisi ki rah ka darwaza kabhi na khuley ga ..!
Jab aisee kefiyat a jatee hey toh mujh jasey loag nashey ka sahara ley letey hein sochtey hein key shayad un ka mann halka ho jaye ga shayad woh apney dil ki baat keh pain gey per sach toh yeh hey key ilfaz hee un ka saath chor detey hein ..! jahan itney sab loag wahan ilfaz bhi sahi ..! choat khaney ki adat dal jatee hey roz aik naya gham aik naya dukh ..! Tanhai ..! Sochon ka hisar ..! Ghamon kay ansoo ...! Nazar andaz honaey ka khoaf ..! jab yeh sab baatein mil jatee hein toh yeh kefyat khud ba khud insaan main paida ho jatee hey jisey ham sab Worthless keh saktey hein kisi ney is aik lafz main kitni hee sochein kitney hee gham kitney hee ansoo kitni hee ahein samaet ker rakh dein aur naam dey deya WORTHLESS