05-03-2010, 05:01 PM
Tere lehje pe chaayi rut hay barfaani, NahiN jaati
Tabhi chaahat ki waadi se bhi sunsaani nahiN jaati
Tere Mas'hoor lafzoN ne meri palkoN pe jo rakhkhay
Ab in palkoN se un khwaabooN ki taabaani nahiN jaati
HawaayeN taiz haiN aanchal ka pallu daikhti rehna!
Keh kaanToN ki chaman maiN bhi prehsni nahiN jaati
Jo machli phaiNk di daryaa ki lehroN ne kinaare par
TaRapti hay magar phir daikhnay paani naiN jaati
Bhalay dushwaar hoN raahaiN hawaayeN bhi mukhalif hoN
Muhabbat se kisi soorat khush imkaani nahiN jaati
Har ik din unginat jazboN ko dil maiN dafn karta hooN
Ghazal se phir bhi jazboN ki faraawaani nahiN jaati
HazaaroN raNg maiN malboos daikha jaan-e-jaaN ham ne
Tere shaanoN se laikin ik chunar dhaani nahiN jaati
Sharaab-e-talkhi-e-haalaat pi lainay se mushkil maiN
"Bohat jaani huwi soorat bhi pehchaani nahiN jaati"
Utar jaati hay jin saaNsoN se khushbu WARD ki dil maiN
wohaaN khushbu teri bhi raat ki raani nahin jaati
WARD BAZMI