05-07-2010, 08:02 AM
Assalamo Aleikum !
"visitors message or Private messgae " mein link add karne ka umda tariqa.
Aksar o beshtar hum users profiles mein link dete hain . Hum users ko ye btane
k liye "PM" krte hain k hum ne bahut achha thread bnaya hai .aur
wo iss thread k bare mein jan'ne k liye iss ko zaroor visit karein ...
Iss thread mein main aap ko post mein link dene ka tariqa " presentation style"
mein bataon gy . aur aap ko guide karon gy k "visitor message" mein " link "
kese add kiya jata hai ." private message " mein bhi link add karne ka almost
yehi tariqa hai .
1. " user Profile " mein jaye .( Aap jo image deikh rahe hain wo Shoaib sb
ki profile ka hai .)
2. Farz kijye k aap kisi thread mein link add karna chahte hain ." Browser " se
link copy kijye.( jesa k "red circle" mein dikhaya gya hai.)
3. Iss k baad " profile" mein jaye , oss thread ka name likhye aur oss name ko select kijye.
4. Abb " Insert link button " par click kijye( jesa k "red circle" mein dikhaya gya hai.)
5. Aik box (jesa k "red circle" mein dikhaya gya hai) nazar aey ga , abb aap yahan par wo link add karein jo users ko dikhana chahtey hain iss k baad " OK " par click kar dein
6. App ka add kiya gya link is tarah dikhaee dey ga ...
7. Abb aap message post karein . Aap ka message is tarah dikhaee dey ga (Aap iss ko khoobsurat bananey k liye colour add kar sakte hain ,Font & size change kar sakte hain) abb aap ne sirf iss ko click karna hai aur ye aap ki oss page takk rahnumaee kare ga jis page ka aap ny link diya hy ... Aap aik se zyada link bhi add kar sakte hain.
Lo jeee ..App ka kaam ho gya .Aap Khoobsurat andaz se "profile" mein link add kar chuke hain .
Questions are appreciated, and will be answered InshahAllah.
Samajh na aane ki soorat mein agar aap hum se sawalaat poochhein gey tu hamein achha lagey ga aur hum yaqeenan aap k har sawaal ka jawab dein gey .