04-29-2010, 12:38 PM
[/FONT][/COLOR][/SIZE]
Mere kuch dost urdu nahiN paRh paate
Un ki Nazr yehi ghazal roman urdu maiN bhi hazir hay
Meri soch maiN,mere haal maiN baRa farq hay
Mere ehd mere khyaal maiN baRa farq hay
Tah-e-maslehat,mera gham nihaaN tera gham ayaaN
Mere karb tairay malaal maiN baRa farq hay
Mere hamnasheeN , mera hamsafar na tu ban saka
Meri lay maiN aur teri taal maiN baRa farq hay
Abhi saaz-e-Gham nahiN laaya aalam-e-haal-o-qaal
abhi jism-o-jaaN ki dhamaal maiN baRa farq hay
Tera husn zaaheri ishq-e-WARD hay bateni
Tere husn is kay jamaal maiN baRa farq hay
WARD BAZMI