06-26-2007, 10:41 PM
Page1
Yadai'n Talkh Ho'n Ya Sheeree'n Un Say Daman Churana Aasan To Nahi, In Say Jitna Bhago Yeh Kisi Na Kisi Mor Par Achanak Hamai'n Is Tarha Daboch Laiti Hai'n Kay Pal Bhar Mai'n Ham Phir Un Hi Yado'n Mai'n Pohanch Jatay Hai'n Jin Say Bhagnay Ki Sai Kartay Karaty Dil.O.Jaan Halkaan Ho Jatay Hai'n...
'' Net Beeti '' Kay Unwan Nay Mujhay Lamha Bhar Mai'n Kai Saal Peechay Is Tarha Dhakail Diya Hay Kay Lagta Hay Mai'n Un Yado'n Ko Pal Bhar Kay Liye Bhi Na Bhooli Thi...
[SIZE=4]Sana [SIZE=3]Say Mairi Mulaqaat Aik Urdu Forum Mai'n Hui Thi...Sana Owr Mai'n Forum Mai'n Her Jagha Sath Sath Nazar Aatay Thay...Pata Hi Na Chala Kay Replies Likhtay Likhtay Kab Ham Aik Doosray Ko Khud Say Qareeb Tar Mehsoos Karnay Lagay...Aik Doosray Kay Liye Pur'Khuloos Jazbaat Hamaray Replies Say Saaf Jhalaktay Thay...
Aik Din Mujhay Sana Ka Pehla Mukhtasir Sa PM Mila...Jis Ko Parh Kay Maira Chehra Firt-e-Musarrat Say Khil Utha...Us Kay Mukhtasir Say PM Mai'n Mairay Liye Khuloos Ka Samandar Mojzan Tha...Woh Mujh Say Yahoo Par Baat Karnay Ki Khuahish Mand Thi...
Mai'n Nay Us Ko Fowran Jawabi PM Likha Jis Mai'n Wazey Kar Diya Kay Yahoo Par Raabta Karna Mairay Liye Mumkin Nahi...Warna Urdu Forum Say Bhi Haath Dhona Parai'n Gay...
Sana Nay Israar Kiye Baghair Mujhay Aik Owr Raah Sujhaai Kay Us Nay Haal Hi Mai'n Aik Urdu Forum Ki Bunyaad Rakhi Hay Jis Mai'n Chat Room Bhi Mowjood Hay...Is Chat Room Mai'n Ham Dono'n Hi Ho'n Gay Owr Dil Bhar Kay Batai'n Karai'n Gay...
Mujhay Us Ki Yeh Tajweez Bouhat Pasand Aai...Us Nay Fata Fat Mujhay Apnay Forum Mai'n Regesterd Kar Kay Maira User Name Owr Password Mujhay Aglay PM Mai'n Likh Bhaijay...
Pehli Hi Chat Mai'n Ham Ko Kisi Qism Ki Ajnabiyat Ka Aehsaas Na Huwa...Yahi Lagta Tha Kay Ham Aik Doosray Ko Daikh Rahay Hai'n, Aik Doosray Ki Aawaz Hamari Sama'at Say Takra Rahi Hay...Ham Ird Gird Say Bay Niyaaz Ghanto'n Batai'n Kartay...Bal Kay Yeh Kehna Durust Ho Ga Kay Mai'n Ghanto'n Us Ki Batai'n Sunti...
Sana Bay'Tahasha Bolti Thi, Na Janay Kab Say Us Kay Andar Aik Lawa Sa Khowl Raha Tha Jo Mujh Say Miltay Hi Phat Para Tha...Mai'n Ziyada Tar, Hmm Hmm, Acha, Phir Kiya Huwa, Likh Kar Apni Mowjoodgi Ka Aehsaas Qayem Rakhti...Owr Woh Mujh Say Musalsal Baato'n Mai'n Masroof Rehti...
Mai'n Nay Us Chat Room Mai'n Jis Sana Ko Jana Us Ka Naqsh Mairay Dil.O.Dimaagh Par Roz-e-Awwal Ki Tarha Aaj Bhi Sabt Hay...
Sana Ki Bato'n Mai'n Rabt Ka Fuqdaan Tha Jis Say Mairay Dimagh Mai'n Sainkro'n Sawaal Uthtay...Mai'n Nay Yahi Munasib Samjha Kay Is Ko Dil Ki Bharaas Achi Tarha Nikaal Lainay Doo'n Us Kay Baad Hi Mai'n Jo Kuch Poochna Chahti Hoo'n Us Say Pooch Daloo'n Gi...
Sana Ki Batai'n Jis Tarha Bay Rabt Theen, Us Ki Yadai'n Bhi Usi Tarha Bay Rabt Hai'n...Mai'n Chahoo'n Bhi To Mairay Liye Mumkin Nahi Kay Mai'n Us Ki Yado'n Mai'n Rabt Paida Kar Sakoo'n...Jo Baat Jis Tarha Yaad Aa Rahi Hay Usay Usi Tarha Likhti Chali Ja Rahi Hoo'n...
Sana Nay Mujhay Jo Kuch Bataya Us Par Aaj Bhi Mai'n Aabdeeda Hoo'n...Maira Dil Aaj Bhi Us Kay Liye Shaq Huwa Jata Hay...
Sana Aik Khatay Peetay Gharanay Say Taaluq Rakhti Thi... Aik Aesay Gharanay Say Jis Mai'n Khandani Riwayaat Ki Aehmiyat Baitiyo'n Ki Khushiyo'n Say Kahee'n Ziyada Thi...
Sana Teen Behno'n Mai'n Sab Say Choti Thi...Sab Say Bari Behen Shadi Kay Baad Beroon-e-Mulk Muqeem Thee'n...Sana Ki Bari Behen Hina Ki Baat Apnay Chacha Kay Baitay Zaki Say Bachpan Mai'n Hi Pakki Kar Di Gai Thi Jis Kay Liye Hina Owr Zaki Ab Bilkul Razamand Na Thay...Zaki Dubai Mai'n Aik Achi Post Par Faaiz Tha...
Sana Jitni Darpok Thi, Hina Utni Hi Sarkash Waqay Hui Thi....
Hina Owr Zaki Kay Saaf Inkaar Kay Baad Khandani Riwayaat Nibhanay Kay Liye Zaki Ki Razamandi Say Sana Ka Nikah Zaki Say Phone Par Kar Diya Gaya Jis Mai'n Sana Ki Razamandi Shamil Na Thi...Sana Ro Ro Kay Pagal Hoti Rahi Laikin Woh Inkaar Ki Jurrat Say Mehroom Thi...
Zaki Albatta Sana Say Nikah Par Bouhat Khush Tha...Zaki Aurat Ko Pair Ki Jooti Say Ziyada Aehmiyat Dainay Ka Qaail Na Tha...Aurat Ko Daba Kay Rakhna Us Ki Sarisht Mai'n Shamil Tha...Us Ka Mizaaj Kisi Say Posheeda Na Tha Phir Bhi Sana Kay Ghar Walo'n Nay Khandani Riwayaat Par Sana Ko Qurbaan Kar Diya...
Zaki Ki Khuahish Ko Madd-e-Nazar Rakhtay Huway Matric Kartay Hi Sana Ki Taleem Ka Silsila Munqita Karwa Diya Gaya Jis Ka Sana Ko Dili Ranj Tha...Woh Andar Hi Andar Khowlti Rehti Laikin Kuch Bhi Karnay Say Qasir Thi...Zaki Kay Naam Say Bhi Us Ki Rooh Kaanpnay Lagti...Laikin Us Kay Ikhtiyar Mai'n Kuch Na Tha...
Bachpan Say Hi Mehroomiyo'n Owr Na'Insafiyo'n Nay Sana Kay Gird Apna Ghaira Tang Kiye Rakha...Jaisay Jaisay Uskay Qadam Bachapan Ki Daihleez Phalangtay Aagay Barhtay Rahay, Waisay Waisay Meroomiyo'n Owr Talkhiyo'n Ka Yeh Ghaira Us Kay Gird Tang Say Tang Hota Chala Gaya...Us Ki Rooh Pharphara Kay Reh Jati Magar Koi Raah-e-Faraar Sujhai Na Daiti...
Us Kay Kamray Mai'n Hafto'n Kisi Ko Jhanknay Ki Fursat Na Thi Kay Sana Kiya Kar Rahi Hay, Kin Bato'n Mai'n Uljhi Hui Hay...Maa'n Baap Owr Behno'n Ki Mohabbat Owr Tawajoh Say Mehroom Sana Computer Say Dil Behlaya Karti...
Internet Nay Sana Ko Aik Nai Duniya Say Mutarif Karaya Tha Jis Mai'n Woh Rafta Rafta Doobti Chali Ja Rahi Thi...Net Ki Duniya Waqti Towr Par Usay Ird Girg Ki Talkhiyo'n Say Bay Khabar Kar Daiti...
Aik Urdu Forum Kay Tawassut Say Sana Ki Dosti Jibran Say Hui...Dosti Ka Aaghaz Jibran Nay Kiya Jis Ka Sana Nay Bharpoor Jawaab Diya...
Dosti Kay Aaghaz Mai'n Hi Sana Say Poochay Gaey Jibran Kay Sawalo'n Kay Jawaab Jhoot Par Mabni Thay...Sana Nay Apna Aap Jibran Say Chupaey Rakha...Naam Tak Sahi na Bataya...Sana Nay Jibran Ko Jo Kuch Bataya, Woh Sab Us Par Kisi Na Kisi Hawalay Say Beet Chuka Tha...Laikin Woh In Bato'n Ko Doosray Rang Mai'n Jibran Ko Batati Rahi...
Waqt Guzarnay Kay Saath Saath Yeh Dosti Mazboot Hoti Chali Gai...Kab Yeh Dosti Mohabbat Ka Rukh Ikhtiyar Kar Gai Dono'n Ko Pata Hi Na Chala...
Jibran Pehlay Din Say Hi Sab Kuch Sach Sach Sana Ko Batata Raha...Ab Sana Ki Himmat Na Hoti Thi Kay Woh Jibran Say Kaihti Kay Mai'n Nay Jhoot Ka Sahara Liya Hay...Woh Apnay Bolay Huway Jhoot Is Dar Say Nibhati Chali Gai Kay Kahee'n Jibran Ka Saath Choot Na Jaey...Dil.O.Jaan Say Jibran Ko Chahnay Kay Ba'Wajood Woh Sach Boltay Boltay Reh Jati...Aik Jhoot Ko Chupanay Kay Liye Doosra Jhoot Us Ki Zabaan Par Hota...
Us Ka Zameer Usay Kachokay Lagata, Sari Raat Woh Tarapti Rehti...Roz Apnay Dil Mai'n Aehed Karti Kay Aaj Jibran Ko Sab Kuch Sach Sach Bata Day Gi...Laikin Woh '' Aaj '' Kabhi Na Aati Thi...
Jibran Ko Patay Hi Woh Sab Kuch Bhool Jati...Pyar.O.Mohabbat Kay Do Bolo'n Say Mehroom Sana Nay Jibran Ko Shiddat Say Chaha, Dil Say Us Ko Apna Jana...
Jibran Kay Sang Us Nay Sadiyo'n Ka Safar Dino'n Mai'n Tay Kar Liya Tha...Dono'n Ko Aik Doosray Kay Bina Lamha Bhar Chain Na Aata Tha...Aik Doosray Ko Apnanay Kay An'Ginat Khuaab Un Ki Soti Jaagti Aankho'n Mai'n Basay Rehtay...[/SIZE][/SIZE]