03-27-2006, 04:51 PM
insaan bohot si arzouen karta hai... ashayein karta hai... zindagi bina saharon ke nahi bitaii ja sakti... aur zindagi ke bohot se khushgawar saharoon main hamarey doston ka ziker sar'e fehrist hai....
mayri dost, mayri ashaa.....
yeh dost .. ashaa is liye ke... insaan aik achay dost aur rafeeq ki khawahish hameesha karta hai... aur ashaa umeed ko kehte hain .... aur isi liye main usay ashaa kahoongi ke us jaisi dost ki khawahish bhi shayad har koi karey... yeh mayri sathi hameesha rangoon ki,,, muhabbaton ki.... khushbooun ki batein karti hai.... titliyoon ki batein karti hai... shabnamoon ki batein karti hai....khoos'e khazaa ke rangooun ki batein karti hai... baharoon ki ... moasamoon ki rangeeni ki batein karti hai... is ke jazbay nazakaat aur narmahat liye hote hain... us ki baton se waqai muhabbat ki mehaak aati hai...
us ne zindagi ke itne utar charhaoo dekheye... aur main usay phir bhi hameesha himat aur houslay se naye sooraj ki umeed ke diye jalate huye dekhti hoon....jaise kuch bhi hoo jaye... woh haar na manay gi... kabhi umeed ka daman na chorey gi.... uskay houslay chattanoon jaise mehsoos hote hain...
magar kabhi choti si baat pe bhi toot toot bikhar jati hai... apni pareshaniyon ke bais nahi.... magar apne dostoon ko kisi museebat main nahi dekh sakti... har pal usay yeh baat satati hai ke woh unki fikr'o pareshani ko kaise khatum kar de... unke sarey gham kaise apne daman main samait le... aur unhain is gham se azaad kar de... uskay dostoon ki choti si mathey pe aii shikan bhi usay bardasht nahi .... woh unke laboun pe her pal.. har lamha muskurahatein bikhairna chahti hai....hameesha kahey gi .."yaad rakhoo main tumharey sath hoon".... aur jab dost usay pukarein to jaise labbaik kehna uska farz hai....
jahan uske houslay chattanoon jaise hian to woh khud bhi to nazuk si phool ki pankharii jaisi hai... main ne kai bar uskay aitbaar ko toot'te dekhaa hai.... usay toot'te dekhaa hai.... bikharte dekhaa hai....magar khud ko jald hi sanbhalne ka funn usay aata hai.... khud ko samaitna bakhoobi janti hai... jab woh apne bikhre aitbar ke sheeshay chunn rahi hoti hai to doston ko unse zakhmi nahi hone deti.... bas tanha samait laiti hai....
aye mayri haseeen ashaa
bas itni hai mayri dua
tu younhi muskurati rahey
tu younhi khushiyan lutati rahey
khilkhilati rahey
tera daman sitaroon se bhar jaye
aur koi gham na tere kareeb aye
Ameeeeeeeeeen