03-20-2006, 10:39 AM
Aj school sey chuti hui toh woh bacha jo kisi ki ankh ka tara hey jo kisi ko baeyhadh pyara hey akela hee apney gher ko chal para us ki umr toh itni na thi key usey gher ka raasta yaad rehta par us key qadmon ko uthney par majboor sirf aik hee khayal ney kya tha !! woh yeh key school takreeban khali ho chuka tha sab key maa baap apney bachon ko laey ker chaley gaye aur woh tanha school kaey bahir deewar sey taek lagaye betha tha janey mausam kasa tha shayad garmi yaan shayad sardee par woh yeh sab zayda daer bardasht na ker saka aur chal deya !!!! Chaltey chaltey us ka bharee school bag jo shayad us key wazan sey bhi zayda waznee tha khul gya aur kitbaein zameen par a girein duniya sey anjaan halat sey baeykhabar woh apni kitabein samaetney laga key itney main usey koi jani pehchani awaz ayi ankh utha ker dekha toh us bachey key gher ka aik fard qadam barhata hua usi ki janib a raha tha usey dekh ker bachey ka chehra baeyikhtyar khil gya per woh shaks jasey hee us key qareeb aya toh aik awaz kanono mein paree "Mera intazar nahi ker sakta tha" aur aik thappar us bachey ki ankhon main ansoo laey aya us key chehrey ki muskurahat chin gaii ik nazar us ney apni kitabon ki taraf dekha aur phir keh bhi na saka key "Gir gaien hein utha dein" gher aya toh maa ney sadka deya key laal gher aya hey per woh atey hee apni maa key seeney sey lag gya aur siskian laey laey ker ronaey laga kehna chahta tha per keh bhi na saka key woh school main akela rah gya tha is liye gher ki taraf chal para !!!!
Yehi bacha hosh sambhalta gya aur apney aap ko aik kooozey main band kerta gya woh bhi aisye key us key baad us ka wahan sey bahir ana ik na mumkin sa fael tha shayad !! apney gird key halat sey lerta hua har pal kisi kashmaksh main aksar raaton ko akela gher sey bahir nikal perta is aetmanan sey key shayad ab woh bara ho chuka hey usey gher ka rasta maloom hey aur woh gher wapis chala jaye ga !! apna mann halka kerney ko usey kisi aur jaga ka nahi bas usi jaga ka khayal ata usi jaga per pyar ata jo aik phoolon ki kayari aik baagh ki deewar key saath thi jo baagh us key gher sey kuch dooor tha !! woh bas ghanton usi baagh main usi kayari key pass deewar sey taek lagaye rota bhi thaa aur phoolon sey baatein bhi kerta tha !!! kabhi ghusey main khud ko unhi phoolon key kantey chabonaey lagta toh khabhi ghasss ko zameen sey ukhar deta !! par aisey main us key ansoo na ruktey thaey wohi Siskiyan wohi sab kuch janey kya chahti thi zindage us sey !!!
Phir ik waqt ata hey jab woh khud ko in sab baaton sey bayasar sa samjha ker apna seena chora ker key halat ka majboorion ka mushqilon ka mukabla kerney ki thaan leta hey per kuch hee arsey main usey is baat ka ahsas ho jata hey key nahi woh aisa kuch nahi ker sakta key nahi us per wohi chaaap lagee hey us key naseeb mein wohi siskian hein wohi sab kuch jis sey woh nafrat kerta hey !!! woh bacha ab khasa bara ho gya tha itna key muqabla ker sakta tha kerna chahta bhi tha par haara !!! haar gya woh pehli hee baar jawani main qadam rakhtey hee shayad us ki haar us key naseeb main likh di gaii !!! tooot gya phir bikhar sa gya kahin bhi dekhta toh wahan umeed hotey huye bhi usey apni haar ka hee dar laga rehta himat juta na pata tha woh kuch kerney ki kuch kehney ki magar mehnat kerta gya jitni woh kar sakta tha jitni us mein sakat thi !!! is doran apni pereshani apni is la hasili sey chuktkara paney key liye ab woh us baagh main nahi jata tha ab usey us kayari sey bhi shayad pyar nahi raha tha kyun key kayari phool , phoolon key kantey woh ghasss in sab ki jaga aur bohat see cheezon ney ley li thi jin key hotey huye woh khud ko sakoon mein samjhta tha Nadan tha !!!
Kasee cheezon main saharey dhoondta phirta tha !!!
Phir yun hua key jawani a hee gaii per yeh ajab hee thi us key umr key nojawaan larkey hasna khelna idher udher ghoomna sab kuch kertey thaey aur us ko fiker hoti thi key ab college key baad phir usey kaam per jana hey kaam keerey ga aur behter sey behter nokri ki talash kerni hey takey woh mazeed agey berh sakey yeh aik tarhan sey acha hee tha key woh us umr main kaam ker raha tha jab no jawan sirf paisey kharchna jantey hein !!! woh ik lihaz sey mutmaen bhi tha key haan woh kuch ker jaye ga khud key liye un key liye jin key liye woh kerna chahta hey kismet kahin na kahin laey jaye gi aur kyun na laey jaye gi nayee umangein nayee umeedein phir sey jawan hui thaein bohat arsey baad us ney apni isi zindage isi daerey main dil lagana seekh liya tha phir yun hua key usey mohabbat hui baeypanah mohabbat hui par janey kya manzoor tha takdeer ko kismet ko woh khud bhi janta tha key mohabbat naam ka yeh keera isey khokhla ker dey ga aur woh aisa girey ga key phir kabhi na uth paye ga per nahi wohi aik meetha zehar ban ker us kee nason main utar gya aur phir yun hua key us ki mohabbat chali gaii aur woh dekhta hee rah gya !!! phir sambhla khud ko hosla deya apney doston sey mohabbat ki apney us pehley pyar ko apni nadani samajh ker bhoolna chahta tha !!!
Dost jab zindage main aye toh un key liye sab kuch kerney ko tayar betha rehta aur aksar aukat ker bhi jata un key liye palon main paney maqasid apni zindagee ko bhi bhool jata !! bohat azeez dost thaey woh us key aur woh dost bhi usey bohat tawajah detey bohat tarjeeh detey !! waqt halat sab behter hota gya usey aney gher sey zayda apni tanhai toh azeez thi he per apni tanhai key baad ab usey gher sey zayda doston per aitmaad hona shuru ho gya unhi per aitbar kerney lag para woh !! Saharey toh dhoondta hee rehta tha shuru sey per us lamhey usey laga key ab zindage kat jaye gi sakoon sey aram sey apney inhi doston key saath sab saath rahein gey !! kasee kasee baatein kya kerta tha key main tumharey liye yeh keron ga woh keron ga per bas baatein hee kerta reh gya halat ney moka nahi deya aur kuch arsey key baad woh apney hee gher walon per boajh ban gya !! khwa woh bohat kam arsa tha per shayad bohat zoar daar !!! Tofaan sey kam na tha woh sab choot gayee sab sangee saathi tanha rah gya phir !!! aik din socha us ney palat ker dekha toh kis kadar rawani thi us ki zindage main is Anaey Janey key khel ki idher aya udher gya aur woh dekhta hee rehta tha !!!! Thaan li yahan us ney thaan li keh ab kuch aisa na kerey ga kahin lagao nahi kahin ishtiaq nahi !!! tanha ker ley ga khud ko sab sey sab sey dooor ker ley ga apney aap ko phir wahin band ker dey ga key jahan sey nikalney ka socha kerta tha kabhi !!!!! Jwani sey aik hee pal main burhapey main paon rakh deya us ney !!! per us ki siskian tab bhi thiaen aur
Aj bhi !!
AAj woh bacha aik mard ban gya hey larakpann jawani , is sab ki kahanian bohat peechey chor aya hey per aaj bhi us ki zindage mein wohi khala wohi kamee wohi adhoora pann wohi soona pann hey aaj us key pas sab kuch ho ker bhi kuch bhi nahi hey !! aaj phir sey us key bohat sey dost hein aaj phir sey woh apni tanhai key baad apney doston mein hee ghira rehta hey !!! par aaj bhi jo khaala Bachpan mein hee us ko mil gaye thaey wahin key wahin hein !!! har janhib har taraf sey kahin naa kahin kisi na kisi cheez ki kamee zaroor hey !! woh sab kuch mukamal toh na chahta tha !! us ney na hee sab kuch mukamal chaha !! per phir bhi janey kyun thorey key liye bhi tarsa tarpa aur sisakta raha !! aur sisak raha hey !! aaj bhi talashta hey saharey ko aaj bhi usey zaroorat hey akhir koi kab tak tanhai mein rahey koi kab tak us ka muqabla kerey lar lar key muqabla ker ker key thak chuka hey usey sakoon chayeh ab kuch toh thora toh ? par woh ab kisi per apna yeh saya bhi nahi perney dena chahta woh nahi chahta key koi us key khoal mein aye toh us jasa ho jaye woh khud ko shayad is liye bhi tanha kyee huye hey shayad jo us ney thaana tha wohi ker raha kahin rukwa deya jata hey toh kahin woh khud roak leta hey bas isi kashmakash main hey aur rahey ga bhi woh ab nahi chahey ga key koi us key pass a ker us ka saya khud per daal ley woh nahi chahta key ab koi us ki sochon jasee soch sochey shayad is liye !!! phir bhi yeh sab ker key bhi usey janey kyun sakoon ki talash hey woh kuch pal sakoon mein rehna chahta hey ...!!!! per sab sawalon key jawab main aik hee baat ati hey janey kab ? Aj bhi woh betha yehi soch raha hey key bachpan sey laey ker ab tak kya tha woh sab kya hey yeh sab ?

@};- ik Sisaktee Hui Zindagee @};-