03-19-2006, 02:38 PM
Kal shab pichlay pehar ik khawb nay darwazay pay dastak di... sanwli rungat liyeah roobaroo aan khara howa.... sayaah ankhoon mein khawahishain naach rahi theen.. khullay asmanoon mein.. unchee uranoon kee.. badloon ke sawari kee... kissi door kay dais mein sunahree kissi jheel kinaray.. naram ghaas pay utree shabnam pay... nangay paoo ghanay darkhatoon ke kitaar sung,hathoon mein haath liyeah door jahaan naye din kay souraj ke kanwari kirnain pehli raat ke dulhan jaisay.. apnay hee roop say sharmati zameen kay seenay pay bay khud hoo kay apna aap luta daiti hain.. wahaan talak janay ke khawahishain... kaya bataoon un bolti sayah ankhoon ke ba'bat...
Kaya kahoon uss khawb ke babat... naam lay kay jab pukara tha us nay... kitna hairaan hoo kay takka tha mein nay... apna naam hee bhool gaya tha mein tu... sehra mein khara tha mein tu... uss nay tu saraab sa ghair liya tha mujh ko... sehar tha koi jis nay jakar liya tha mujh ko.. uss ik lahmay mein kitni hee sadiyaan bitayeen mein'nay... hasratoon kay jungloon mein... bin manzil rastoon pay bay naam justajoo liyeah kitni door nikal gaya tha mein bhi..... kitni hee bay maksad battain kee theen... pichlay safar kee thakaan ke battain.. dashat mein guzray jo din unkay azaab ke battain... ainda dinooon say wabasta aas ke battain.. !!
woh gharee millan ke jo hijar sung layee thi.. Uss ik gharee mein kaya kaya na bahanay dhoonday.. uss ko rook lainay kay.. kissi shaam phir say milnay kay... parbatoon kay uss paar undaikhee wadiyoon kay kitnay hee qissay gahray... lehjay mein kaisay ik zamanay ke payaas bhar kay kaha tha mein nay.. mill kay challain gai kissi roz.. tum phir say milna... dhanak kay us paar ik ghar hai wahaan tuk chalna.. uss ghar mein soya ik khawb hai, palkoon pay saja laina... khila uss mein ik gulaab hai, jooray mein laga laina... nazar na lag jaye zamaanay ke.. sab say chuppa laina us ko..
Mairi bay rabat batoon pay kaisay laboon pay uskay.. dabay paoon hansi utar aye thi.. aur phir kitnay hee rujhaoo say kaha tha uss nay.. mushkil hai bohat mushkil hai Basit... ittefaaq say millay hain hum aaj.. ho sakay tu issi ko ghaneemat janoo.. phir say milnay ke yeah hasaratain na paloo... dashat kay musafir ho tum tu, na youn sarab sahil mein panaah loo.. lafzoon ke khaiti kay yeah mehaktay shagoofay... samait loo saray, kaam ayain gai in ko sambhal loo..
Kuch bhi tu na keh saka tha baad iss kay... bay maini hansi ke baat kar kay.... ankhoon mein utar ayee namee ko kaisay chupaya tha mein nay.. aur jab bicharnay kee sa'at aan pohanchee... jaisay rooth gaya hoon uss say... palat kay bhi na daikha na hath hilaaya tha mein nay... Par wapsi kay karray safar mein, kaisay dil e baychain ko sambhala tha mein nay.. kaisay bayikhtiyaar hoo kay uss ko pukara tha mein nay.. Sanwli..!!