03-19-2006, 12:22 PM
Asalam,
Net pay kuch ehbaab hein jo aksar miltay baad mein hein rishtay pehlay bana laytay hein, rishtoon khiraaj mangtay hein, magar net ke duniya mein rishtay nayaaz ke tarhaan bantay jatay hein. mujhay humaisha hee in bin samjhay bin janay aur bin mangay rishtoon say sakhat uljhan rahee hai. Mein jantay hoon yeah tehreer kuch sathiyoon ko shaid na'gawar guzray magar phir bhi mein chahoon ga kuch mein apnay khayaal ka izhaar karoon aur kuch aap ke iss kay barya mein raye jaan paoon. Jo mein in Net Dostiyoon aur Net Rishtoon kay baray mein samajhta hoon, janta hoon woh zaid mein likh raha hoon. Aap ke raye ka intazaar rahay ga.
Net Rishtay / Net Dostiyaan
jab net naya naya aam admi kay ikhtiyaar mein aya tu shaid kissi nay socha bhi nahi tha kay net ke duniya itnee jaldi iss qadar wasee hoo jaye gi. guzishta 15-20 saloon mein net nay in fasloon ko jiss raftar kay saath kam kiya hai yaqeen nahi aata. khair yahaan maira maksad technology pay baat karna nahi hai balkay kiss technology kay marhoon e minat un dil kay rishtoon ke baat karna maqsood hai jo dil kay hotay howay bhi dil say nahi hootay.
Net Dosti aaj kal fashion hai, rawaaj hai. Yeah forum jiss pay aap iss waqat moujood hein yeah bhi issi net dosti kay tufail hee tashkeel paya. Net dosti kay baray mein mairee raye waqat kay saath badalti rahee hai.. magar shaid aab kuch thehraoo aa chala hai.
Iss Net kay tawasat say ban'nay waalay rishtoon pay baat karnay say pehlay mein un awamil kay baray mein arz karna chahoon ga jo mairee kam'aqli kay mutabiq lougoon ko iss duniya mein dhakail daita hai.
Pardaisee: Pardais mein rehnay walay apnay andar aik khala liyeah jeetay hein. Apnoon say doori ka ehsaas kabhi na kabhi kissi na kissi toor un ko net ke duniya mein kaheen na kaheen say pakar hee laata hai. mein yeah nahi kehta aksar net use karnay wallay pardaisee hotay hein.. haan magar aksar pardaisee aap ko net pay zaroor millain gai.
Mareez e Mohabbat: Yeah woh apahaj hootay hein jo mohabbat ke talaash mein rehtay hein. Inhein jo milta hai uss say mohabbat ka dam bhartay hein, in say mil kay aisay lagta hai kay in say ziada mohabbat ko koi nahi janta. haan in kay janay kay baad pata chalta hai, mohabbat in ko kabhi na jaan paye, yeah woh loug hootay hein jo tamaam umar apnay hee hashiyeah ko gehra kartay rehtay hein.
Shikaar e Hawas: iss tabqay say taluq rakhnay wallay loug apni hawas kay hathoon majboor hoo kay net pay shikaar khailnay nikaltay hein.. go khud shikar e hawas hootay hain. yeah bohat meethi zubaan boltay hein, aur aksar mukhalif jins kay pehloo mein hee rahat paatay nazar aatay hein. Gunah bin Lazat kay yeah mareez taskeen e hawas kay liyeah kissi bhi kisam ka dhoong racha laytay hain.
Hum nay pichlay kuch barsoon mein aisay bohat say shikaree daikhay, zikar karoon ga tu garaibaan ko ayain gai. Aik baat aur iss tabqay mein na aurat mard say kam hai na mard aurat say, agar kuch sab say barh kay hai tu woh kaar e hawas.
Fan'Kaar : Iss tabqay ka naam pehlay kuch aur rakha phir rehnay diya kay yeah khud bhi youn he pehchaanay jaana ziada pasand kartay hein. Go mein khud bhi issi tabqay say taluq rakhta hoon, par jab baat niklee tu kuch in ke babat bhi batata chaloon. Iss tabqay ke sab say baree khasiyaat yeah hai, yeah dosti say ziada behan ya bhai banatay nazar aatay hein, aur yeah rishtay aisay hee banatay hein jaisay saans laytay hein.. aik saans mein dil say qareeb tar lay jaatay hein aur dosri mein andar ke tamaam ghalazatoon samait bahir nikaal phainktay hein. Hum nay aksar fankaroon ko inhee rishtoon ke baysaakhi thamay urooj ke manzillain tay kartay daikha hai.
yeah aksar ik gum'gashta mohabbat ka tazkara kartay miltay hein. In ke aksariyaat miyaan faseehat hooti hai. mazeed yeah kay in mein say kuch khud roo hootay hein kuch tufailee hotay hain aur kuch fankar iss liyeah bantay hein kay un kay deegar osaaf zahir na hoon.. hum nay kaiee mareez e mohabbatoon ko aur un'ginat shikaar e hawas shakhisyaat ko funkariyaan kartay daikha.. aur tu aur kuch funkar aisay bhi hain jin ka uss waqat tuk pata nahi chalta jab tuk woh koi funkari kar kay 9 2 11 na hoo jayain.
Molvi: net ke wasee say wasee tar hooti duniya mein kuch molanaoon nay bhi daira daal liya hai. In mein say aksariyaat aap ko jahalat ka namoona paish kartee nazar aye gi. Yeah aap ko jahaan bhi nazar ayain gai aik haat mein quran dosray mein hadeth aur zuban pay fatway liyeah hee nazar aye gi. Haan magar kuch hein sahib ilam bhi magar aatay mein namak kay barabar, aur waisay bhi hum unahein molvi kay bajaye sahib e ilm kehna ziada pasand kartay hein.
Na'Balagh Bachay: Kehtay hein bandar kay haath mein matches nahi dainee chahiyeah, magar jiss raftar say net nay taraqee kar kay ghar ghar mein daaira daal liya hai.. humain lagta hai jald hee kaha jana lagay ga "Bachoon kay haath mein Net nahi dainee chahiyeah" Ya phir "Net Access, Bachoon ke Pohanch Say Door Rakhain". In Bachoon ke sab say baree kharabi yeah hai kay yeah woh bantay nazar aatay hein jo yaeh ban nahi saktay. aur issi ban'nay kay chakar mein yeah kabhi kuch nahi ban paatay.
Balagh Bachay: Aik zamana tha in mein aksariyaat khawateen ke thee, magar aaj aap ko marad iss mamlay mein bhi aurtoon ka muqabla kartay nazar ayain gai. Umar chapan ke hooti hai magar harkatain aisee kay aap balghoon mein bhi kehtay sharmain. In balagh bachoon mein aksariyaat mareez e mohabbat ya shikaar e hawas hotay hein.
Deegar Iqsaam: Net pay aanay waloon ke iqsaam itnee hein kay likhtay jaiyeah khatam na hoon, magar yeah kuch cheeda cheedah iksaam hein, baki ke yaa tu abhi paidaish kay marahil tay kar rahee hein, ya phir iss qadar kam hein kay un ko sirf Deegar Iqsaam mein hee shamil kiya jaa sakta hai.
Batoon batoon mein baat kaheen say kaheen nikal gaiee, kaee aur iqsaam hein jin kay baray mein darj karnay ko ungliyaan machal rahee hein, magar fil'waqat issi pay qanaat karta hoon. Jald hee kuch aur iksaam aur phir uss kay baat Net pay ban'nay wallay rishtoon kay baray mein mazeed kuch likhnay ke jisaarat karoon ga. Abhi jo likha uss pay aap ke raye ka intazaar rahay ga.
Wa.Salam