03-28-2007, 07:43 PM
Kuch aisa karde mere kirdigaar aankhon mein
Hamesha nakhsh rahe rooye yaar aankhon mein
Unhein na dekha to kis kaam ki hain yeh aankhein
Keh dekhne ki hai saari bahaar aankhon mein
Farishto poochte ho mujhse kiski ummat ho
Lo dekh lo yeh hai tasveere yaar aankhon mein
Yeh dil tarap keh kahin aankh mein na aa jaaye
Keh thehr raha hai kisi ka mazaar aankhon mein
Woh noor de mere Parvardigaar aankhon mein
Keh jalwa gar rahe rukh ki bahaar aankhon mein
Piya hai jaam'e mohabbat jo aapne noori
Hamesha iska rahega khumaar aankhon mein
Kuch aisa karde mere kirdigaar aankhon mein...