01-29-2007, 04:48 PM
![[Image: maiN_likhhna_chahta_hoon.gif]](http://www.hallagulla.com/urdu/photo/data/500/maiN_likhhna_chahta_hoon.gif)
maiN likhhna chahta hooN pholooN bhari wadiyooN ki kahaniyaaN , chand chehra sitara aaNkhhoN ki kahaniyaaN ,masoom chehrooN ki masomiyat ki kahaniyaaN , aesi kahaniyaaN jis maiN rim jhim hoti barishooN ka zikar ho , qous-o-qazah kay raNgooN ka zikar ho ,parindooN ki cheh'chahat madhur hawaooN ka zikar ho
magar jab ye sab likhhnay ki koshish karta hooN to ujRi hoi wadiyaaN ujRi hoi bastiyaaN ,khhet ,khhalyaan mujh say sawal kartay haiN agar ham ujaR gaey to kya is maiN hamara qusoor tha ?????chand chehra sitara aaNkhhaiN kahaN haiN yahaN to har taraf bhook-o-aflaas maiN dobi hoi aahaiN ,hasrat bhari nigahaiN nazar aanay lagti haiN _____ masoom chehrooN ki masomiyat ko kahaN talash karooN ??? yahaN to har taraf masoom chehray zulm-o-sitam ka shikaar nazar aatay hai
N jin ki masomiyat ko gehen laga diya gaya hay
rim jhim hoti barish ___ haaN kabhi hua karti thi magar ab , ab to zra si barish main na janay kitnay ghhar ujaR jatay haiN loog saRkooN par pani bhara honay kay ba'is kis qadar takleef ka shikaar hotay haiN
parindooN nay to lagta hay cheh'chahana hi chhoR diya hay un ko bhi jesay aik khouf kay aehsaas nay jakaR rakhha hay
kyooN hua aesa ????? kis ka qusoor hay ye sab ??????? kya ham insanooN ka ????????
haaN hamara qusoor hay ham jo apnay mafadaat kay aagay har cheez qurbaan kar detay haiN apna bank balance baRhanay kay liye dosrooN ki janooN ko qurbaan kar detay haiN apni hawis maiN mubtila ham insaan bhool gaey haiN is ka hamaiN jawab bhi dena hay hamaiN hisaab bhi dena hay kya kahaiN gay jab ham say pochha jaey ga bataoo kis kis ka haq ada kya tha bataoo apni tijoriyaaN bharnay kay liye kitni janaiN li thiiN
phir ! phir kya jawab daiN gay ham kya kabhi socha hay ?????