05-18-2006, 09:06 PM
Kal raat hum ko un ka satana ajeeb tha
rulana ajeeb tha, wo manana ajeeb tha
nibh hi nahi saki kabhi apni tu dostoo
"main hi ajeeb thi k zamana ajeeb tha"
jana tu khair tha hi usey chor k mujhe
lekin ye ab ki baaar bahana ajeeb tha
ye dill usi ka ghar tha usey bhi khabar tu thi
phir aap apney ghar ka jalana ajeeb tha
mud'dat hoi hai tark-e marasim keye howe
per khwaab main shab us ka ye ana ajeeb tha
kuch bhi nahi tha mera fasana bajuz ashk
bekaar us k sar ko khapana ajeeb tha
wo jis ka aks aankh ki putli main hai simta
kal raat us sey aankh churana ajeeb tha
ye sarey dard teri enayat hain meri jaa.n
phir in ghamoo.n ka tujh sey chupana ajeeb tha
duniya samajh rahi thi humain moum ka putla
per dhoop main kal apna nahana ajeeb tha
jashn-e shab-e firaaq bujha k sabhi charagh
Shagufta tera sab ko hansana ajeeb tha
-----------
Shagufta Basit
May18th, 2006.