03-20-2006, 12:12 PM
Main ney to kaha tha "Suno agar aisa hota to kya tha ? Main aur tum ik ho jatey " Par nahi tumhi ko israr tha izhar ka ..!! Iqrar ka lo kya ab main ney iqrar bhi kya ..!! main ney izhar bhi kya kaho ab kya kehtey ho ? Ik khawab hee to bacha tha merey pass ..!! Ik aas hee to bachi thi .. is izhar ney is iqrar ney wo aass wo khawab bhi cheen liya mujh sey toot gya sab kuch chikna choor ho gya ..!! Sab bikhar gya ..!! Merey pass kam sey kam ik khawab to tha ..!! Jo mera apna tha us ki haqeeqat ki fiker nahi thi mujh ko wo jo kuch tha mera apna tha ..!! Par toot gya wo khawab bhi khatam hua ..!!! Ab bachi hain merey pass to bas yaadein, kuch tumhari baaton ki un gehri kali raaton ki wo choti lambi mulaqaton ki ..!! Bas ab yehi meri daulat hain yehi mera hasil, Yaadein..!! haan tumhari yaadein merey jeeney ka sahara hain..Ik naye azab ka ishara hain ...!!!