03-20-2006, 10:41 AM
Ayeh ..!
Phir sai chaley aye ? kahan thaey ab ki baar suna tha mutlashi huye mohabbat kai ..! Mili ? haan haan mili ho gi mohabbat nahi thokar .. ! Suna tha mutlashi huye khushion key ...! mliein ? haan haan mili hon gi per kuch naye azye'atein ..! Suna tha mutlashi huye thaey baharon kai ..! Milein ? haan haan mili hon gi par khizaein hee khizaein ..! Dheet hein janab aap bhi kahyeh kyun ? woh yun key jahan pyar key doh boal miley haar bethey apna sab kuch ..! khai thokar girey sambhley phir uthaey phir wohi doh boal wohi kamzori janab ki phir wohi thokrein aur phir wohi roz ka rona dhona ..! Kab tak chalein gai karobaar-e-duniya yun ? Wasey dekhyeh ga kabhi khud ko ghoar kejiyeh ga ..! Aap ki halat toh dhobi key kutey jasee huyee balkey dhobi ka kuta bhi kabhi na kabhi toh kahin na kahin gher per yaan ghat per kuch daer toh ruk hee jata hai ..! par aap toh gher ghaat toh duur beech main hee atak ker rah gaye ..! Murad kya jantey hein ? Aji janab murad key na toh aap deen key huye na duniya key latakey huye beech main .! zindage bhi azab main kat rahee akhrat bhi Jahanum key hawaley ker di .! Par woh kya hai na janta hoon khoob aap ko aap rukney waley hein nahi ik awaz phir sai parey gi phir bhagey chaley aein gai kya hua ? koi dukh main ho apna ho chaley mada'd kerney us ki koi ghair ho chaley apna ban'aney us ko aur phir jab wohi apney jo pyar key bol'on sai ma'an moh liya kertey thaey unhi ki kahi koi baat sun li toh lagey girgaraney phir sai .! lagey kerney shikwey dhaeron key dhaer KHUDA sai Duniya sai Khud sai Zindage sai ..! Wasey bura na manyeh ga janab aap ka haal hona bhi yehi chayeh afsoos mat kejiye ga gar bura laga toh maafi maang leta hoon per hain aap isi Qabil key miley har moar per thoker lagey har lamha ik naya zakhm .! key sudharna aap nai hai nahi aur shikaytein sun sun key aap key andar betha main ..! main toh janab kehyeh key kisi pagal khaney key sab sai barey pagal jasa ho gya hoon ..! Dekhyeh kahey deta hoon phir sai khamosh ho jayeh chup jayeh yaan aur kuch nahi ker saktey hein toh kahin M'ar M'ara jayeh kam sai kam mujh ko azadi toh miley aap sai aap key in azabon sai ..! Sach poochyeh toh ab nafrat hai mujh ko aap sai shadeed nafrat jasey kisi aur insaan ko bhi ho shayad ..! par main toh aap key andar betha aap ka apna hoon dekh lejiye mujh ko bhi aap sai nafrat ho gaii chir khaney lag gya hoon main ap sai .! Gar ho sakey toh mujh ko azad ker dein sahib nawazish ho gi ..!