03-20-2006, 10:33 AM
Tum ho nahi magar phir bhi ..! Suno ..!
Suno kuch kehna tha mujh ko ..! Suno gi ? Kya samjho gi ? Chalo aisa kero key sun lo samjho nahi Sun lo key kya kehna hai mujh ko Sun lo key kya chahta hoon main . ..! Main janta hoon ..! Janta hoon key saath chal nahi saktien ..! Par saath dey toh sakti ho na ..? ..! Kehna tha mujh ko key chahta hoon tum mera saath doh jab tak ho sakey jahan tak ho sakey ..!
Kehna tha key chahta hoon main aur tum sahil ki thandi geeli raet per ik doojey key hathon main haath deye ghanton chaltey rahein ..! Lahron ka thanda pani Chand ki garam roshni main angraiyan leta hua sahil ko aye aur tumharey Qadmon ko choom laey per haath na chootey yeh saath na tootey Kehna tha key chahta hoon main yeh ..!
Kehna tha key chahta hoon main ..! pahron tumhein yunhi dekhta rahon ..! Thakey na meri nazar bas dekhta rahon main dekhta rahon ..! Tumharee haya sai bhari us soorat ko jis ko meri nazar dekhey toh is soorat ka sadka utar jaye ..! yeh soorat lakhon ba'd nazron sai bach jaye ..! Uthi palkon ko dekhon toh din char jaye ..! Jhuki nigahon main shaam dhal jaye ..!
Kehna tha key chahta hoon main ..! tumharee zulfon sai khelon main aksar ..! Din ki karakti dhoop sai bachney ko un key saye main betha rahon ..! Khushbu main un ki main muskurata rahon main chunta rahon main dekhta rahon main choota rahon mehsoos kerta rahon ..! Key haan tum saath ho merey tum pass ho merey ..!
Kehna tha key chahta hoon main ..! Tumharey hathon ko thaam ker un per apney honton sai ik mo'har lagaon ..! is qadr pyar sai is qadr narmi sai key tum ko tum sai chura ley jaon chupa loon tum ko tumhi sai hee tumhein behla jaon ..! Un narm hathon ko apney hathon main daba ker tum ko yeh ahsas dilaon kai haan ..! ker saktey hein yehi haath tumhare hifazat ker saktey hein ..! haan Jantey hein yehi haath tumharee qadr jantey hein ..! haar chukey hein ..! haan yehi haath tum per apna sab kuch haar chukey hein ..!
waar chukey hein ..!