03-28-2011, 08:22 AM
Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm
Aaj ka din kuch ajeeb sa hey, ya phir yoon kahain tu zyadha munasib hoga k mood kuch ajeeb sa hey,ek afsurdagi si tari hey,aisa nahi hey k main aaj yahan pehli bar aaya hoon main yahan kai bar aa chukka hoon kabhi kisi apney ko kandha daitey huwey tu kabhi kisi janey waley k liye kalma-e-shahadet perhtey huwey mager ye ek haqiqet hey k aaj sey pehley kabhi main ney ye nahi socha tha k khud mujhey bhi tu ek din yahan aana hey aisey hi logoon ney mairey jasd-e-khaki ko uthya huwa hoga phir mujhey qaber main utar diya jaye ga aur phir upper sey wazni slabs rakh diya jainge,main wahan akaila reh jaoon ga aur phir..phir kia hoga? Phir wo hoga jis k barey main main janta tu hoon, jis ka main zuban sey iqrar bhi kerta hoon jis k barey main baat kertey huwey main fasahet aur bakaghet k derya baha daita hoon mager.mager dil sey iman nahi lata, main ney shayed aaj pehli bar puri imandari sey apni zat ka tajziya kia hey aur.. aur mujhey khud sey ghin aarahi hey main tu dunya ki ghilazet main lithra huwa ek ghaliz tareen insane hoon jo her ghalet kaam ki koi na koi dalil dhond laita hey na janey aaj tek main kisey dhoka daita aaya hoon aaj ye aehsas ho raha hey k main tu us aehmaq musafir ki terha hoon jis ka safer us k sir pe hey mager wo zad-e-rah ki taiyari ki bajaye taveel aaram kerney ki soch raha hey,aaj ye aehsas huwa k mairi haisiyet tu us andhey talib-e-ilm ki si hey jisey ye bhi bata diya jaye k paper main kia kia sawal pochey jain ge aur un k jawabat bhi bata diye jain mager wo un ki taiyari kerney ki bajaye kisi aur hi taiyari main mashghol rahey aur aaj khayal aaya hey tu shyed kafi waqt beet chukka hey main kia karoon?.............ye sawal mustaqil mairey dimagh main gardish ker raha hey waqt ka bhi pata nahi kon janey kab whistle ho aur gari rawana ho jaye kab mumtahin paper k ikhtitam ka elan kerdey maira dil dard se phata jar aha hey apni ghaflet aur gunahoon ka ahsas mairi reg reg main saraiyet ker raha hey mairi aankhoon sey aansoo behney lagey hain in main koi ria kari nahi shayed ye is umeed pe us Rab-e-kainat k hazoor beh rahey hain k shayed abhi mujh aasi k liye tuba ka derwaza band na huwa ho aur main is yaqeen k sath us malik k hazoor sajdha raiz honey ki soch raha hoon k wo tu ek Maa k muqabley main apney bandey se 70 derjey zyadha muhabbet kerta hey mujhey kyoon maaf na kerey ga mager is wadey k sath k aaindh hamisha wohi kerney ki puri koshish karoon ga k jis ka hukm hey.