03-28-2011, 07:48 AM
Jub mairi pehli kitab publish hui tu uska jo paish lafz main ney likha maun usey yaha'n aap logoo'n k sath shar ker raha hoo'n umeed hey pasand aaye ga.
---------------------------------------------
Paish Lafz
Jub main ne pehli mertaba qalam uthaya aur apni pehli kawish ko kaghaz k seeney per raqem kia us waqt mairey wehm-o-guman main bhi nahi tha k perhney waley mairi tehreer ki pazirai karai'n ge.
Mai'n shuker guzar hoo'n apney perhney waloo'n ka k na sirf unhoo'n ney mairi tehriroo'n ko pasand kia balkey is terha mairi himmat afzai ki k mairey ander likhney ka ek naya hosla paida huwa aur un ki tanqeed ney mairi tehreroo'n main nikhar paida kerney mai'n aehm kirdar ada kia.
Main ney likha aur buhat pabandi sey likha,kehtey hai'n k zindagi bari talkh hoti hey aur agr aap ek hassas dil rakhtey hai'n aur dosroo'n ki taklif sirf zuba'n ki hed tek nahi balkey haqiqatan apney ander mehsoos ker saktey hai'n,dosrey ki aankhoo'n ki nami apni aankhoo'n mai'n mehsoos ker saktey hai'n tu phir aap yaqinan ek achi muaashrati kahani takhliq ker saktey hai'n, baat sirf usey talash kerney ki aur trashney ki hey aur phir hota ye hey k wo talkhi aap key jism-o-ja'n mai'n sirayet ker jati hey aur us ki kerwahat aap ki rooh mai'n ghul jati heyaur phir aisi takhliqat janam laiti hai'n jo likhtey waqt qalam ko rulati hai'n tu perhtey waqt kisi hassas dil rakhney waley qari ko,main yaha'n koi lamba chora paish lafz nahi likhna chahta bus Mehmood Ghaznavi k is shar pey ikhtitam karoo'n ga,
Yun'hi nahi ban gai tasveer-e-arzo Mehmood
Jub ungliyoo'n ko tarasha hey tab naqoosh aaye