09-20-2010, 10:11 PM
Kia yehi tha Iqbal ka khawab???
Prof Riffat Mazhar
Aik taraf Perveiz Musharaf ne Pakistani awaam
ki neendein haraam keen aur aane wale hukamranon
k liye masaeil k pahar khare kar diye tu doosri
taraf sabqa sadar Bush ne na sirf dunya ka aman
tabah kiya balkeh poori diya ki ma'shiyat bhi
hila kar rqkh di.Aur aane wale sadr k liye
pataal takk gehri khaee khoge di.Amrikee
Awaam berouzgaar...Bank diwaliya...Property
ka karobaar thap.
Pakistani currency ki de value se bachne k liye
Pakistani awaam ne kharbon rupey (Rs)Dubai Property
par laga diye.shaeid yeh samajhte hue k wahan ka
Khuda koi aur hai....honi ko kon taal sakta hai .
wahan bhi khareedar yon ghaeib huey jese
"gadhe k sar se seeng"
Yehi haal Pakistan mein hai .Awaam mehengaee ki
chakki mein piss rahe hain.Bijlee k napeid hone
se fectoriyan band...Mazdoor bekaar...Ghareeb k
ghar ka choola barf ki tarah thanda...bachon ko
bhook se airiyan ragar ragar kar marta deikh kar
bebus waldein Khudkushi par majboor.
Dubai .. Jo k Pakistan ka bacha hai ...
Umar mein 30 saal chhota ..aur raqbe k lihaaz se
Bahawalpur ka chhota bhaii...Jis ka banki nizaam
aur ma'shiyat Pakistaniyon ki marhoon e minnat
hai...Wahan ki aasman se batein karti aur aankhon
ko chundhya deine wali buildings Pakistani Engrs
hi k dam qadam se hain...
Abb souchne wali baat yeh hai k phir Hum
Pakistani qoum onn se peechhe kyon???........
Kab sudhre gee Pakistani Ma'shiyat???????....
Jis Mulk ka State Bank hi harr waqt rote basorte
bache ki tarah apni barbadi ka rona rota rahe gaa.
Aur sharah sood aasmaan se batein kar rahi ho gee
Tu kon pagal Sarmaya kari kare ga???keise naee
san'atein lagein gee????
bechare mehngaee ki chakki mein pisne wale awaam
apni rozi roti ki talaash mein ghar se bahar
nikalne k liye agr qiston par bank se gari niklwa
lete hain tu qist ki adam adaeigee ki soorat mein
Bankon k paltu Ghunde (Jo aksar Police ehelkaar
hote hain)jab chahein zaleel o ruswa karke gari
uthaa le jate hain...
Aise logon k liye Qanoon kyon khamoush tamashaee
hai???....
Aiy Mulk k rakhwalo !! abhi bhi waqt hai ...
"kheit chiryon k chugne" se bach sakta hai...
Khawab e ghaflat se jagu...Aagay barho...
Girti hui Ma'shiyat ki deewar ko aik dhakka aur
dene ki bajae bath k thaam lo ...
osey sahara du...agr yeh waqt bhi haath se nikal
gya tu ...tu...siwaey "pachtawe" k kuchh nahi
bache ga aur "ijtemaee Khudkusi"hamara muqaddar
ho gee ... Aur Allama Iqbaal ki Rooh takk kaanp
uthhe gee aur sawaal kare gee....Kiaaaaaaaaaaaa
yehi wo Pakistan hai jis ka khawab deikha tha????
Jall rahaa hon kal nahee parti kisi pehlo mujhe
Haan dabu de aiy muhit e Aab e "Ravi" tou mujhe
(Rooh e Iqbal se ma'zrat ke saath)