Hallagulla - Virtual Home for Real People
~~~Ye kahani Nahi Hay~~~ - Printable Version

+- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443)
+-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4)
+--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790)
+---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80)
+----- Forum: Ham (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=736)
+----- Thread: ~~~Ye kahani Nahi Hay~~~ (/showthread.php?tid=88866)



~~~Ye kahani Nahi Hay~~~ - imported_naz - 01-29-2007


beta nashta to kartay jaao........... nahiN ammi buhut der ho gai hay school maiN hi khhalooNga ......ALLAH HAFIZ
"aik to ye laRka apni paRhai kay aagay kisi ki koi baat nahi sunta"
achhi baat hay na ammi warna aaj kal kay laRkay kahaN itni dilchaspi letay haiN paRhai maiN siwaey ginti kay chand laRkooN kay
"haaN beta jitna bhi shukar karooN kam hay apnay PARWAR'DIGAAR ka"
wo sirf 2 behen bhai thay wo apna zyada waqt paRhai maiN hi sarf karta aaj uska test tha jaldi jaldi karkay ghar say nikla tha dost ko sath liya donooN yehi bataiN kartay hoey ja rahay thay kay .........................aik tez raftaar school ven say takra gay .................................................. ..
sab kuchh khatam .........maaN kay armaan ,khuwab ,aarzo'eiN sab kuchh
ye aik kahani ki ibteda nahi thi zindagi thi haaN hamari apni zindagi ham rozana aesay waqeaat dekhhtay haiN ab hamaray liye ye sab rotine ka hissa ho gaya hay lekin jis par guzarti hay usay apnay armanooN ko apnay hi hathooN say manooN mitti talay dafan karna kya aasan hota hay ??
kisi ki zara si ghaflat ,be'parwahi jaan lay leti hay or us jaan kay peechhay na'janay kitnay logooN ki ummeedaiN hoti haiN shayad wo jazbaat-o-aehsaasaat lafzooN maiN bayan karna mumkin nahiN usay to sirf mehsoos kya ja sakta hay
kaash kay ham sab maiN mehsoos karnay ki salahiyat bedaar ho sakay



~~~Ye kahani Nahi Hay~~~ - Haya n - 01-29-2007

Lamha Bhar Ki Ghaflat Aik Khandaan Ko Kis Tarha Hila Kar Rakh Daiti Hay Yeh Kam Hi Loge Soch Patay Hai'n...Ji Haa'n Aap Nay Theek Kaha Kay Daily Hi Na Janay Kitnay Gharano'n Kay Saath Aesay Haadsay Hotay Hai'n Jo Kabhi Aik Choti Si Akhbaar Ki Surkhi Ban Jaatay Hai'n..In Hadso'n Say Jin Jin Gharano'n Mai'n Qayamat Machti Hai Yeh Wahi Jaantay Hai'n Jo Yeh Sab Saih Rahay Hotay Hai'n....Har Hasaas Dil In Hadso'n Par Tarap Uthta Hay Owr Kuch Loge Aesay Bhi Hotay Hai'n Jo Zakhmi Par Aik Tirchi Nazar Daal Kar Bas Guzar Jatay Hai'n...


~~~Ye kahani Nahi Hay~~~ - heer_malik - 01-29-2007

Allah sab ko apni hifazat main rakhay, aur tamam logon ko aqal aur sahoor day kay wo apnay hisay ki zimadari ko ahsan tereqe se saranjam dain, Ameen Sum Ameen