![]() |
~~~Muhabbat Nay Muhabbat Ko ruswa Kya Hay~~~ - Printable Version +- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443) +-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4) +--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790) +---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80) +----- Forum: Ham (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=736) +----- Thread: ~~~Muhabbat Nay Muhabbat Ko ruswa Kya Hay~~~ (/showthread.php?tid=88864) |
~~~Muhabbat Nay Muhabbat Ko ruswa Kya Hay~~~ - imported_naz - 01-29-2007 ![]() ![]() tum phir aagey ? kitni baar mana kya hay mat aaya karo lekin tumhari samjh maiN kuchh nahiN aata aakhir kon say triqay say tumhaiN mana kya jaey . bas keh chukiN ya abhi or kuchh baqi hay ??? chalay jaao Talha chalay jaao maiN tumhara samna nahiN karna chahti tum say koi ta'al'luq qaaem nahiN rakhhna chahti phir kyooN chalay aatay ho mujhay azziyat denay kay liye ??? maiN deta hooN tumhaiN azziyat ya tum khud iski zimmay daar ho ??? na sirf khud azziyat seh rahi ho balkay mujhay bhi taRpa rahi ho aakhir kya mil raha hay tumhaiN ye sab karkay . wahh Talha sahab khoob buhut khoob ham aah bhi kartay haiN to ho jatay hain bad'naam woh qtl bhi kartay haiN to charcha nahiN hota batao kahaN thay tum us waqt jab mama meri shadi taey kar rahi theeN ???kitna taRpi thi maiN kitni min nataiN ki theeN maiN nay tumhari keh meray sath ye zulm na honay do wo shakhs meray baap kay brabar tha sawaey doulat kay or kya khobi thi us maiN jat, jahil nra an'paRH tha wo kash meri apni maaN zinda hoti ( ye kehtay hoey buhut si nami us kay lehjay maiN ghhul gai lekin phir usi talkhi or sakhti say us say goya hoi ) lekin tum ................. tumhaiN in sab batooN say kya gharz thi tumhaiN to America jana buhut zarori tha na bachpan ki dosti ka, muhabbat ka zrra brabar khayal na aaya or to or isi par bas nahiN kya wahaN jakar shadi bhi rachali green card jo milna tha jab us nay tumhari izzat do kouRi ki kardi to aagaey wapas apna hi thoka hua chatnay . please Maham ( buhut ghussay say mukhatib hua ) bas buhut hogai had hoti hay kisi baat ki jo nouh maiN aata hay bolti chali jati ho ye theek hay mujh say ghalti hoi hay magar ( jumla abhi pora bhi nahiN hua tha woh taqreeban cheekh paRi ) haaN haaN ab to had hogi hi aaina jo dikhha dya bhala sach bhi kisi nay bardasht kya hay , Talha sahab muhabbat to shishay ki manind hoti hay aik dafa gir jaey to utthai nahiN ja sakti or jo ye koshish kar bhi lay to hath zakhmi ho jatay haiN phir bhi shisha juR nahiN pata wo kirchi kirchi hi rehta hay . chalay jaao meri dunya say meri nazrooN say door itni door kay wapsi ka rasta bhi bhol jao ( woh buhut mayosi say goya hua ) phir tum kya karo gi ??? akeli reh jao gi . haaN to kya hua akeli to maiN us waqt bhi reh gai thi jab tum mujhay chhoR kar gaey thay apnay iraday say ab maiN khud tumhaiN janay ka keh rahi hooN jab us waqt tumhaiN meray akelay pan ka khayal nahiN aaya to ab kyooN ??? jab koi dosra aap par apna fesla musal'lat karta hay aesa fesla jiska aap taswwur bhi nahiN kar saktay to afsoos ,dukhh or takleef zyada hota hay ba'nisbat is kay kay aap khud koi fesla karlaiN , ab ye fesla mera hay kyooNkay maiN muhabbat sar uttha kar lenay ki qaail hooN tum nay to meri muhabbat ko mitti maiN mila dya hay or giri hoi muhabbat sar jhuka kar , ghhutnay taik kar lena mujhay manzoor nahiN ( woh taqreeban roo denay ko tha buhut himmat mujtama karkay bola ) aik dafa phir soch lo Maham maiN bhikari ban kay aaya hooN tum jo sza chaho mujhay day do magar wapas janay ka na kaho janta hooN buhut azziyat sahi hay tum nay lekin jab aik mouqa Qudrat nay hamaiN day dya hay to kyooN isay apnay hathooN say zaya kar rahi ho ( woh buhut rukhhai say boli ) maiN tumhaiN apna fesla suna chuki hooN apna waqt barbaad mat karo . ( woh thakay haray qadmooN say lout gaya shayad uskay sath aesa hi hona chahiye tha us nay apni muhabbat ko apnay hathooN say qurbaan kya tha itni sza ka to haqdaar tha wo or Maham uskay janay kay baad roti rahi pata nahiN apni muhabbat kay janay par ya apni muhabbat ki ruswai par jisay khud uski muhabbat nay ruswa kya tha ) |