Hallagulla - Virtual Home for Real People
~~~Jism Aur Rooh~~~ - Printable Version

+- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443)
+-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4)
+--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790)
+---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80)
+----- Forum: Ham (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=736)
+----- Thread: ~~~Jism Aur Rooh~~~ (/showthread.php?tid=88862)



~~~Jism Aur Rooh~~~ - imported_naz - 01-29-2007



insaan 2 cheezooN ka murakkab hay jism or rooH agar rooH na ho to insaan aik mitti ka dher hay jisay rooH nikalnay kay baad jald az jald dafnanay ki fikir ho jati hay yaani sirf jism ki koi haqeeqat nahiN lekin is kay bawujood ham jismani tarqqi kay liye apna raat din aik kar detay haiN khhatay haiN peetay haiN har tarah ka aaraam-o-asaaish hasil karnay kay liye sari zindagi sarf kar detay haiN or ye aik had tak zaroori bhi hay kyooN kay zinda bhi to rehna hay or waqt ka sath bhi dena hay ................
lekin khhatay peetay to janwar bhi haiN to ham maiN or janwarooN maiN kya farq reh jata hay haaN bas wo apnay aaraam-o-aasaaish ka koi khayal nahi rakhh saktay kyooNkay unhaiN iska sha'oor hi nahi hay or shayad yehi bunyadi farq hay ham maiN or janwarooN maiN
lekin
is kay bawujood janwar to mutmain ho jatay haiN magar ham insaan kyooN mutmain nahi ho patay
shayad is liye kay hamaiN talash hay hamari rooH ko apna asal dhondna hay wo hamesha usi ki justujoo maiN lagi rehti hay magar ham nahi samjh patay
ham apnay jism kay liye to sab kuchh karnay kay liye tayyar haiN jo fani hay jisay khatam ho jana hay lekin jo asal hay (rooH )usko zinda rakhhnay kay liye kya kar rahay haiN ???????? kya hamari rooH ab tak mar chuki hay ? ya marnay wali hay ? kya ham apni rooH ko marnay say bacha saktay haiN ? kya usay uski manzil par puhNcha kar aik mutmain or pur sukoon zindagi basar kar saktay haiN ?lekin uski manzil kya hay ?