![]() |
Us Ki Yaad Main, Jo K Mera Sab Kuch Thi...! - Printable Version +- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443) +-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4) +--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790) +---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80) +----- Forum: Shagufta Basit (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=722) +----- Thread: Us Ki Yaad Main, Jo K Mera Sab Kuch Thi...! (/showthread.php?tid=87623) |
Us Ki Yaad Main, Jo K Mera Sab Kuch Thi...! - imported_naz - 01-07-2007 mujhe khaka likhna tu nahi ata per socha k likhoon aik khaka.... khaka kya hai ji... bas aik harf-e ghalat tha jisey khuda nay likha per mita dala...... na-jane kyu.... najane kyu kabhi kabhi hum jo likhtey hain wo likhna nahi chah rahe hotey aur kabhi jo likhna chahtey hain wo likhne beth'they hain tu goya haath paoo.n bandhey paatey hain..... us sey meri mulaqaat .... mousam-e barsaat ki shura'at main hoi thi... mulaqaat kya thi .. bas majbori thi.... so majbori nibhaai saari zindagi.... jab ehsaas howa k wo majboori nahi, adat nahi, zarorat nahi bal k mohabbat thi meri tu kuch hasil na howa... k wo na thi jisey bata sakti k tu koun hai merey leye.... tu mousam-e barsat ka aghaaz tha jab humain wo mili thi ....us ki adat thi k gird-o nawa sey bekhabar rehti ... gird-o nawa kya khud sey bhi barsoo main milti.... shaid darti thi khud sey... waise kehti barey wasooq sey thi k main kisi sey nahi darti... per mujhe yaqeen hai k dar hi tu us ki jaan lay gaya..... humain rone ka shouq tha .... usey hasne sey bair yoon humari khoon nibhi.... waqt guzarta chala gaya aur pata hi na chala k kab kahan aan khara kya is nay humain k palat k ajne ka koi rasta hi na chora..... kehti thi k "hum sa ho tu samney aay".... phir humain waqai us sa koi na mila... bara talasha yahan wahan per afsoos..... jab humari akhiri mulaqaat hoi thi us sey go jantey hum dono hi they k waqt kum hai ... sansain ginti ki pallo main hain tu us waqt laboo.n main muskaan... aur ankhoo.n main nami sajaay barey piyaar sey boli thi...:" mana k rone sey aankhain roshan hoti hai ... per aisa bhi kya rona k bin mousam barsat barasti hi raho.... main nahi marne wali .. jaan rakho... tumhain maar k hi maroon gi" aj sochti hon k kitni sachi thi khud tu mari humain bhi maar dala... sar ta pa kafan liptaay is aas pe sar gardaan subha sey shaam kartey hain k shaid aaj qaza humain us sey mila dey ..... dekheye kab rone ka hunar kho dain... kab dill dharkan ka nata totey, kab zubaa.n sey lafzoo k akhiri panchi urain kabb... kuch khabar nahi per marne waley aik baar mar kyu nahi jatey... kyu hewla ban ban humarey saath chaltey rehtey hain... kyu tanhaai k rozan sey dakhil ho k dheroo.n beeti baatain dohrartey hain kyu.... aik baar kyu nahi mar jatey !!!!!!!!!!!!! Us Ki Yaad Main, Jo K Mera Sab Kuch Thi...! - ?P???? ?K?? - 08-05-2007 bohat khobsorat tehreer hay.............. |