Hallagulla - Virtual Home for Real People
Chaand Ke Tamanai...! - Printable Version

+- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443)
+-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4)
+--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790)
+---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80)
+----- Forum: Withlove (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=729)
+----- Thread: Chaand Ke Tamanai...! (/showthread.php?tid=75680)



Chaand Ke Tamanai...! - imported_naz - 04-25-2006

[Image: Chand01.jpg]

[Image: Chand02.jpg]

[Image: Chand03.jpg]

[Image: Chand04.jpg]


Chaand Ke Tamanai...! - imported_naz - 04-25-2006

CHAAND KE TAMANAI



Mujhe uss mehfil main aatay jatay kuch zayada arsa to nahi guzra tha.... magar iss kum arsay main itna zaroor hua tha ke bohat se log ajnabi se shanasa ho chukay thay.
Wo bhi ussi mehfil ka eik khushgawar hissa thi, haan ye durust... ke jab main ne uss mehfil main shirkat ka irada kiya tha, tabb wo mere hawaas per itni haavi nahi thi... jitna ke shirkat ke chand din baad tak. Mere liye hairani ki wajah thi to sirf eik hi , ke abb tak meri uss se koi bhi mulaqat nahi huyee thi magar mere khayalo'n main uss ka ana jana shuru ho chuka tha.

Mujhe wo ghari aaj bhi yaad hai jab uss ne pehli baar mujhe mukhatib kiya tha.. aur main hairat zada sa... kharay ka khara hi reh gaya tha.. ik parday ke peechay se uss ki khnakti aawaz ka jaadoo mere kaano'n main kuch aisay rass ghol raha tha .. jaisay baansuri se niklay huye 7 sur. Mujhe yun lag raha tha.. jaisay mujhe zameen per basnay walay khush qismat tareen insaano'n main se koi eik mana ja raha ho. Magar uss ke halkay se tabasum ka jhalakta rungg kuch zayada gehra na tha.

Uss raat der tak jaagna mujh per theek waisay hi farz ho chuka tha jaisay din main 5 namaze'n.. so main deir tak so na saka tha ... ussay sochta raha tha... aglay din main waqt se pehlay hi uss mehfil main pohanch gaya tha.. magar uss roz uss se hamkalami main kuch taakheer huyee thi .. janay iss ki kya wajah thi .. shayad wo kuch masroof rahi ho gi .. main kuch bechain to hua tha.. magar uss ke mukhatib hotay hi main sab bhool gaya tha..aur us ke sehar main kho gaya tha.. wo najanay kya kehti rehti thi .. magar main sirf yehi sochta rehta tha ke ye koi khawab hi ho sakta hai.. ke insaan kisi eik shaks se...haan kisi eik khas shaks se.. baat kernay ki arzoo keray aur wo shaks na sirf baat keray bulkay khud se keray.

Wo apni zaat main kitnay rung chupaye phirti thi.. iss ka andaza mujhe her nayee mulaqat per hota tha.Main ne ussay kabhi dekha to nahi tha, magar uss ki baato'n se ussay mehsoos zaroor kiya tha.. uss ke her andaaz se ik andaza zaroor qayam kiya tha.. aur mujhe wo andaza theek utna hi aziz tha .. jitna ke kisi maa'n ko uss ka pehla masoom sa bacha.../// Jaisay Canvas per koi.. kisi ko samnay bithaye naqsh banata hai .. ik naqsh bananay ke baad phir se uss ki janib dekhta hai aur phir kuch soch ker ik aur naqsh banata hai .. theek waisay hi main bhi ussay kureda kerta tha.. uss se koi baat poochta tha aur phir apni ungli se hawao'n main ik naqsh khainch deta tha, chandd hi mulaqato'n main shabeeh bohat waazeh ho gayee thi aur phir rafta rafta uss shabeeh main jaan bhi par gayee, abb wo chalti phirti bhi dikha kerti thi.

Phir achanak wo najanay kidher kho gayee thi,, magar uss ka ehsaan,, ke apni haseen yaade'n aur wo khoobsoorat shabeeh mujhe daan ker gayee thi. Main aksar raat sonay se pehlay, aankhe'n band kiye... jab ussay socha kerta tha to mujhe nehayat narmi ka ehsaas hota tha.. mujhe yun mehsoos hota tha,,,,, jaisay her janib phool hi phool khillay hein aur unn ke beecho'n beech ik taveel rahdaari hai .. chandni raat ka sa samaa'n hai aur aisay main uss rahdari main bichay dabeez qaaleen per uss ke naram-o-nazuk goray paon yun par rahay hein jaisay ru'ee ke naram gaalay zameen per gir rahay hoo'n... unn pairo'n main bajti jhaanjher ki sargam sanatay main yun gonjti thi ,,,, jaisay kisi saakat jheel main holaay se ik pathar phainka gaya ho... uss ke ghanay lambay kaalay baalo'n per raat ka sa gumaa'n hota tha aur unn baalo'n main mehakta phool mujhe bilkul yun mehsoos hota tha jaisay taareek aasmaan ke dil main ik chamakta chaand tikka ho... uss ke naram-o-gudaaz haato'n ki khoobsoorat lambi ungliyaa'n dheeray se baalo'n main yun phira kerti thi.. jaisay chandni main samandar ki lahere'n utha kerti hein.. uss ke khiltay honto'n ki muskurahat mujh se her baar yehi kaha kerti thi ..."zindagi kitni khoobsoorat hai"... uss ke saaf shafaaf chamaktay gaalo'n per mujhe resham ka gumaa'n hota tha.. uss ke badan ki bheeni khushboo her simat yun phela kerti thi .. jaisay taza kali ki mehak her simat phel jaya kerti hai.. main kisi sehar zada maamool ki tarah uss ki khushboo ke hissar main qaid...aankhen band kiye .... uss ke peechay yun adab se chala kerta tha.. jaisay wohi mera rehbar .. aur wohi meri manzil ... main aisay main uss ki aankho'n main jhaankta tha to jamm sa jata tha.. sehar angez aankho'n main jo roshni bhari hoti thi .. wo sooraj ki pehli kiran se roshan aur phool ki narmi se kahee'n zayada naram hua kerti thi... wo sarapa husn thi.. !!

Uss ke hasee'n naam ka asar tha ya ke phir meri socho'n ki khata.. mujhe uss ke girdd phela noor bhi ik andheeray ki lapeit main lagta tha.. mujhe yun lagta tha jaisay wo chanda si roshan naram-o-nazuk hasee'n larki apni nazuk hateliyo'n per kayee chiraagh jalaye phirti hai... aur khud bujh ker bhi saray jahaan ko roshan rakhnay ki tamana rakhti hai.. wo yunhi kisi khoobsoorat tareen shehzadi ki tarah mere khayalo'n ki rah'dari main tehla kerti thi aur main chup chup ke..pardo'n ki oatt se ... sir qalam ker diye janay ka khauf liye .. kisi sehmay huye ghulam ki tarah.. ussay chup chaap hasrato'n se takka kerta tha.. wo meri dastrass se bahir thi..main ne kabhi takhyul main bhi uss shehzadi ke roobaroo aanay ki juraat na ki thi .. iss ki kya wajah thi .. maloom nahi .. !!

Phir ussay khoye huye to mudaat guzer gayee, magar rafta rafta khawab mehal main uss shehzadi ki aamad maamool ho gayee aur mujhe .. mujhe uss se door reh ker .. uss ki yaad ke qareeb rehnay ki aadat ho gayee..!! Main ne aaj tak ussay dekha to nahi .. magar mujhe yaqeen hai ke meri band aankho'n main qaid uss ka sarapa hoo ba hoo waisa hi ho ga...!!
Abb bhi kabhi kabhi mudato'n baad.. pal bhar ko uss ka saath muyusar ho to jata hai.. magar sadiyo'n baad ye mukhtasar si mulaqat, bilkul aisay hi hoti hai .. jaisay kisi sehra main baad mudaat .. barish ki faqt ik bond barass jaye.. !!

Aaj ik aur naye saal ki aamad per wohi purani baate'n likhna betha hon.. to uss se doori ka ehsaas aur bhi gehra ho ker samnay aaya hai...Naye baras ka ubharta sooraj .. gaye baras ke doobtay sooraj se kuch zayada mukhtalif nazar nahi aata.. to dil main yehi khayal aata hai ke shayad naye baras ka chand hi kuch zayada sunehra ho.. aur yun uss chand ke maan main bhi .. anjaam badal dalnay ka khayal aa jaye..magar ye sab to faqt soche'n hein.. Mere mann main baar'ha aisi khawahisho'n ne sir uthaya hai .. jo mere qadd se oonchi thi.. so main ne unhe'n hamesha dam tornay per majboor ker diya hai.. aur yehi wajah hai ke ussay aaj tak nahi pata..ke hum sehra naseeb waalay bhi kisi chaand ke tamanai hua kertay hein.. !!


:withlove:



Chaand Ke Tamanai...! - Haya n - 12-08-2006

+) Aap To Masha Allah Bouhat Umdagi Say Likhtay Hai'n...Aap Ki Yeh Tehreer Bhi Bouhat Pasand Aai...+)