Hallagulla - Virtual Home for Real People
Ahsas-E-Zyaa'n...! - Printable Version

+- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443)
+-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4)
+--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790)
+---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80)
+----- Forum: Kanwal (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=731)
+----- Thread: Ahsas-E-Zyaa'n...! (/showthread.php?tid=74603)



Ahsas-E-Zyaa'n...! - imported_naz - 04-01-2006



Wo bohat khush qismat hathelian theen , jis ki pukar main itna asar tha itni shiddat thi key wo meri hathelion ki pukar aur shiddat par havii ho gai.........

un hathon ney khuda sey tumhain manga ,....aur khuda ney bhi tumhari zaat uskey nam kar di......aur main.........main apney khali hathon ko rad hotey hoye dekhti reh gai........

main ney kitni hasrat sey uss din apney hathon ko dekha tha ....uss din sey mujhey apney hath sehra jesey lagtey hain ....piyasey aur veeran........

mujhey yaad hey uss din din key baad sey mujhey duaa mangtey hoye wehshat si honey lagi thi....jab sey ab tak apney liye koi duaa nahi mangi......

uss duaa ko mangtey waqt jitni shiddatain ...mohabatin.....khuloss.....pehli mohabat ka bharpoor ehsas merey wajdaan par utra tha ....wo sab kahin kho gya ....jesey TUM mujh sey kho gyae................

wo sari shiddatain khuda to janta tha ...phir....phir bhi us ney merey hathon ko sehra kar dia ...kion.............?

tab phir aik bar aur main ney khuda ko pukara aankhain band kar key sachey dil sey TUM ko manga ...
jawab aaya..."dariya paar utarney key liye wo kashti tumhari nahee...wo kisi aur key liye hey...ussey mat dekho"

ghabra kar main ney aankhain khol deen.....Aagahi kis qadar dukh deti hey tab pata chala......aur aagahi key iss lamhey ney meri aankhon main purtapish nammi bhar di.......

duaa key liye uthey hathon sey mujhey wehshat aaney lagi.....so main ney hath gira diye......mujhey itni thakan mehsos hoi...key jesey merey hathon par kis qadar bojh tha ab tak.........

mujhey yad hey wo din kis qadar udass tha...jesey koi mar gya ho......uss din mujhey sara waqt apney andar sey roney ki awaz aati rahi........

pata nahi uss raat kis waqt aankhain aansoun sey khali hoi aur neend ney aansoun ki jaga li......

uss din key baad har raat neend aankhon main aansoun key baad hi aati hey..................

aur har subha aik ahsas merey sath sath aankhain kholta hey.....TUM ko kho deyney ka ..........Ahsas-E-Zyaa'n ka ..........xxxxy Andaza wehshat ka.......

magar tumhain iss ahsas-e-zyaa'n ki ..........wehshat ki.............kho deyney ki....merey neend sey pehley roney ki......kisi bhi bat ki kuch bhi to khabar nahi......YE bhi to AIK Ahsas-E-Zyaa'n hey na............!










Ahsas-E-Zyaa'n...! - Banjara - 10-02-2010

bohat khoob jnab
shandaar likha hai :rose