![]() |
Maksad - Printable Version +- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443) +-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4) +--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790) +---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80) +----- Forum: Shokh (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=732) +----- Thread: Maksad (/showthread.php?tid=74306) |
Maksad - Shokh - 03-26-2006 Mohabat itni khoobsurat kio hay? Kisi say bhi poochiye to jawab yahi aye ga, ''mohabat bay-garz hay''. Insaan ko hakikat-pasandi say kaam lena chahiye... So ma nay is jawab pay jitna soocha utay sawal mazeed uth gai... Zaroori tha kay apnay aap ko totola jai... Apnay aap ko hi katahray ma khara kia jai... So ma nay apnay aap say poocha kay mujhay apnay Raab say itni mohabat kio hay? Zindagi aik mojza nazar ai... Ma nay poocha kay Mah say itni mohabat kio hay? Meri nazar may wo saray kurbani kay lamhay jaal uthay... Ma nay poocha baba say? Mera saar fakhar say uth gia... Behan say? To mujhay dhoop may thandi shaon yaad ayi... Bhai? Mujhay gairat yaad ai... Dost? To zindagi aik kahkay ki tarhan goonj uthi... aur wo? to ankh meri bhar ai ! Kesay munh phair loon hakikat say, kesay kah doon kay kuch hasil nahi, kesay kah doon kay bay-garz hay ? Kia meray Raab kay karam ka silah ye nahi kay ma siraf osi ki abadat karon? Kia may nay apnay mah baap ki shafkat kay badlay unkay ahtaram may sar nahi jhukaya? Kia nani si behan ko phoolon sa nahi rakha? Kia kabi bhai ko behan baan kar kuch nahi lautaya? Kia dosti kay hakook poray nahi kiye? Kia osay, os say barh kar nahi dia? Ye sach hay kay mohabat bay-garz hay par bila-maksaad kuch bhi nahi hota ! Andhion ka mokabla wohi shajar kar sakta hay jis ki jarh mazboot ho... Jarh ka garz kuch nahi hota, shajar ka hi hisa hay... magar maksad zaroor hota hay... Haan, mera bhi maksad hay apnay Raab ki abadat ka, mah baap, behan bhai, doston say mohabat ka... Agar zindagi ka koi maksad nahi to phir akhraat kio hay? Jahan aag hay wahan pani kio? Jahan dhoop hay wahan chaon kio? Jahan din hay wahan raat kio? Ye nazam-e-shamsi kio? Jahan mah hay wahan baap kio? Jahan dost hain wahan dushman kio? Jahan phool hay wahan kantay kio? Jahan mohabat hay wahan nafrat kio? Har cheez may tawazan hota hay, tawazan barkarar rakhnay kay liye maksaad zaroori aur maksaad say duniya khobsurat hay, aur khoobsurati say kis ko mohabat nahi? Haan magar maksaad hakiki hona chaiye... Agar aap umar-bhar aag ko pani bananay may lagay rahain aur jab kuch na baan pai to mojzay ki tawako karain to ye aap ki zahanat nahi bewakoofi hay. Asay may to koi mojza bhi karamad nahi kio kay azaal say hi ye tah hay kay Aag aag hay aur pani pani... Jab pani aag par rakh dia jai to siraf abi-bukarat bantay hain jo phir bhi pani hay... aur agar pani ko aag par undail dia jai to wo boojh zaroor jai gi magar pani phir bhi nahi banti. Fitrat aik kudarti amal hay ! Maksad ki khoobsurati hasil may hay, jab kuch hasil nahi to maksad kis baat ka? La-hasil makasid to hawa ki tarhan hay, jis kay peechay bhago to agay nikal jati hay. Jesay rait, jitna dabocho utni taizi say sarak jati hay. Jesay koi pagli jis par duniya hasti hay... Duniya ma kuch asa nahi jo mohabat ka talabgar nahi, ye raang, gul, charind parind, janwar, insaan aur in saab ko bananay wala hamara Raab, sabhi muntazir hain chahay janay kay, sarhaye janay kay... Garz aur maksad may soocha jai to bohat fark hay aur agar na soocha jai to kuch fark nahi parta... Jo loog bila-maksad zindagi guzar rahay hain, wo bhi kisi maksad kay tahat asa kartay hain... Par yakin kar lijie... Yak-tarfa kuch nahi hota, kuch bhi nahi !!!
Maksad - $@GH@R - 03-27-2006 :rose V.NICE WORK DEAR :rose |