![]() |
SahiL Aur Lehrain...! - Printable Version +- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443) +-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4) +--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790) +---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80) +----- Forum: Diya (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=724) +----- Thread: SahiL Aur Lehrain...! (/showthread.php?tid=73958) |
SahiL Aur Lehrain...! - imported_naz - 03-20-2006 woh jin ki arzoo hai sahil ko pa laina woh dekho to sahil par hi dam torti hain.. kitni ajeeb chahat hai na ye...sahil ki khawahish hai kai lehrain usai apni aghosh mein lain aur lehroon ki ye arzoo hai kai sahil ko paa lain...mein nai kai baar ye khel dekha hai.....lehroon ka yunhi har baar na umeed wapas laut jana aur sahil ka yunhi tanha rehna...janai kyon aisi arzoo aisi khawahish hai donon kai dil mein...janain aisi kaun si door bandh gai hai....sahil kai kinarai bauhat sai loog apnai samnoon kai mehal banatai hain....bauhat sai khawab buntai hain....arzooon ki tamanna kartai hain...aur ye lehrain...ye apni sarkashi mein in khawaboon ka bhi khayal nahi karti hain....yehi lagta hai na kai sab toor daiti hain.... magar mujhe yun lagta hai jaisai sab samait laiti hain...jaisai woh un sab deewanoon kai khawab mohabbat ki woh sab arzooain ..woh khawaishain apnai andar samoo laiti hain...taankai unhain koi toor na sakai....koi bikhair na sakai...koi un ko dekh na sakai... mein apni is soch par aksar khud hi muskurata daiti hoon kai jo khud khawaishoon kai dairai mein qaid hai woh kisi aur kai khawaboon ki hifazat kaisai karsakti hain...magar ye sach hai...in lehroon mein bauhat sai sapnai chupai hian...bauhat si khawaishain hain...kai andekhai anjanai khawab hain...mohabbat dainai waloon kai liyai aik paighaam hai.... ye lehrain jab sahil tak akar laut ti hain na to usai udasi nahi dai kar jateen..seep kai roop mein apni mohabbat dai jati hain...kuch khawab dai jati hain....agli baar ki mulakaat tak jo usai sahara dai...har pal har lamha kai baat lautti hain kai shayad ye woh lamha ho jab woh sahil ko pa lain...lekin magar woh apni gardish chorti nahi hain....sahil yunhi khara un lehroon ko dekhta rehta hai jo pal bhar ki khushi dai kar phir laut anai kai wadai kai sath palat jaati hain...ati jaati in lehroon mein shayad us ki sansain atki hain kai un kai bina isai chain hi nahi hai...kya karai woh bhi kai aik in ka siwa us ka hum dum hai hi kaun... ye sahil aur lehrain janai kab sai yunhi sath sath to hain lekin mil nahi patai...mohabbat to hai lekin aik intezar aik undekhai kabhi na khatam honai walai rastai ki tarhaan jis par donon sadiyoon sai chaltai arahai hain...ye nahi hai kai ye lehrain sarkash nahi hain...hain...kabhi jo dil mein dard uthta hai to chattanoon sai bhi takrati hain...paaash paash hoti hain lekin aik arzoo ki khatir sab manzoor hai inhain....yehi paighaam daiti hain dekho ye arzoo ye tamanna zindagi bhar ki hai kabhi woh pal ai jo sahil hamara ho isi intezar mein kattai hain shab o rooz kabhi to ye mukaddar hamara ho sahil aur lehrain sath sath to hain .....kain aik kai bina dosra adhora hai lekin kabhi bil nahi pai na hi mil sakain gai to kya mohabbat ki arzoo khatam hogai ...nahi balkai woh har lamhai kai sath aur bhi shiddat ikhtiyaar karti hai..ye lehrain aur sahil na mil sakai to kya hua sath in ka barsoon sai hain aur barsoon tak rahai ga......... "tumhein arzoo hai hamein panai ki hamari tamanna hai do ghari tehar to jao " SahiL Aur Lehrain...! - $@GH@R - 03-27-2006 :rose V.NICE WORK DEAR :rose SahiL Aur Lehrain...! - Haya n - 11-28-2006 +) Mujhay Apni Nazm Ka Yeh Hissa Yaad Aa Gaya +) '' Samandar Kinaray Zara Tum Pukaro Samandar Ko Saahil Say Kitni Mohabbat? '' Bouhat Khoob Likha Aap Nay... +) |