![]() |
JheeL Ka Sakt Paani...! - Printable Version +- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443) +-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4) +--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790) +---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80) +----- Forum: Diya (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=724) +----- Thread: JheeL Ka Sakt Paani...! (/showthread.php?tid=73956) |
JheeL Ka Sakt Paani...! - imported_naz - 03-20-2006 mein aksar yehi sochti thi..........jab bhi jheel kai sakt paani ko dekhti to yehi sochti thi......kitna sukoon hai in mein...kitna sakt hai ye manzar....... meri zindagi bhi aisi hi ravish sai aksar guzarti hai bilkul shant si... mein apni zindagi kai barai mein yehi kahoongi kai us mein hulchul ki leher hamesha aik dost kai anai sai uthi hai .........hamesha hi zindagi nai aik nai karwat li hai woh bhi jab mujhe mila to mujhe pursukoon manzar ka hi gumaan hua..yun laga jaisa woh bauhat shant ho.........sukoon mein ho....lekin ye to sirf seraab tha....hakeekat kuch aur thi...un sai dosti ko zayada arsa nahi hua hai...magar unhain jannai kai baat yun lagta hai jaisai barsoon ki shanasai ho..... pehli baar un sai mulakaat yahan net par hi hui...aik hi jumla kaha kartai thai woh hamesha aur mein yehi sochti thi "kya ye shaks koi aur baat nahi karta "..phir in sai baat hui to jaana kai zindagi kai har rang sai ye wakif hai aur guzar chukai hain yaan ye kahoongi kai ye zindagi kai har rang ko khud mein dhaal chukai hain aur woh inta gehra hogaya hai kai ab ye usi rang mein jeetai hain....woh rang hai azaboon ka..adhorai khawaboon ka ..talkhiyoon ka ghamoon ka... meri jab in sai mulakaat hui to aik ajeeb si khushi hui thi...yun lag raha tha jaisa mein aik masoom sai bachai sai mil rahi hoon jo mujhse ye jaan na chahta hai "batao mein kaisa hoon....tumhari soch jaisa hoon " haan ye aik ajeeb si tamanna hoti hai har insaan kai dil mein kai woh waisa hi ho jais us kai apnai usai sochtai hain..in hoon nai mujhe kuch kaha nahi lekin laga mujhe yehi... us chand lamhoon ki mulakaat nai mujhe in ki zindagi kai kai rang dekh diyai.... haan ye khud kuch nahi kehtai kabhi...bas insaan ko parakhtai hi rehtai hain...magar mein nai un chand lamhoon mein inhain khush hotai dekha hai..in ki awaz mein khushi ka raks suna hai aur inhain aik hi pal mein toottai bikhartai bhi dekha hai....bazahir khud sai laparwa ye khud ko hamesha samaitai rakhnai ki koshish hi kartai hain...kuch kehtai nahi magar phir bhi bauhat kuch bayaan ho jata hai...us aik lamhai mein..in ki ankhoon mein mein nai khonai ka darr...akailai pan ka khauff....ye sab dekha..aur mein hairaan thi kai jo shaks kehta hai "diya mujhe kisi sai mohabbat nahi " woh aaj yun kisi ki narazgi ka soch kar kitna bikhar raha hai....haan woh aisai hi hain...jheel kai sakht paani jaisai......upar sai dekhnai walai ko gumaan hoga kai pursukoon hain...shant hain magar apnai andar hazaroon khauff hazaroon toofan dabai bethai hain....yun jaisai sab ko dekh kar muskura rahai hoo aur andar hi andar ro rahai hoon haan ye aisai hi hain....... aik hi zid hai inhain kai ye sab ko khush rakhain gai aur mein kehti rehti hoon "sunain ye aap kar nahi saktai"........kehtai hain "diya mere sath jo bhi ho jai mere dost bas khush rahain " bauhat hi ajeeb adat hai ye in ki dostoon ki bewafai ko bhi jhel lain gai aur jo us dost nai pukara to sab kuch bhool kar us ki madad bhi kardain gai.........inhain zid hai kai khushi mere ghar nahi ai gi meri zid hai woh apni zid chor dain.....mein kehti hoon "yun na kaha karain kismat kal kya khel kheila kya pata kya pata kis hawa kai jhaunkai par aap ki khushi ho " par ziddi hain kehtai hain "diya mein anai hi nahi doonga " sakht gussa ata hai in par magar kya karoon......... mere samnai kabhi kabhi ye aik masoom bachai ki tarhaan ai hain jisai khoo dainai ka darr hota hai.....aur mein in sai kehti hoon "jo aap kai sath nahi un ka kya gham jo aap kai sath hain un kai sath mein khush rahain"..to sirf muskura daitai hain ...choti choti khushyoon sai khush hotai hain aur choti choti batoon par udas..kehtai hain "diya mujhe jaan nahi pao gi" aur mein ye nahi kehti kai mein sab kuch janti hoon magar haan apnai dost ko samajhti zaroor hoon kabhi kabhi aik ziddi bachai jaisai hain jisai zid ho kai dunya khush rahai gi............bas dunya sirf us kai apnoon ki hi hai aur sab us kai apnai hain............. ye jo yun ghamoon mein dhalai dost hain na mere haan woh bilkul jheel kai sakht pani jaisai hi hain..........pursukoon aur shant JheeL Ka Sakt Paani...! - $@GH@R - 03-27-2006 :rose V.NICE WORK DEAR :rose JheeL Ka Sakt Paani...! - Haya n - 12-25-2006 +) Diya Ji Aap Ki Tehreer Kay Lafz Lafz Nay Mutassir Kiya...Bouhat Umda Andaz-e-Baya'n...Jab Tak Aakhri Lafz Nahi Parh Liya Chain Na Aaya..Bouhat Khush Rahiye... +) |