![]() |
Suno...! - Printable Version +- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443) +-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4) +--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790) +---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80) +----- Forum: Worthless (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=723) +----- Thread: Suno...! (/showthread.php?tid=73916) |
Suno...! - imported_naz - 03-20-2006 Main ney qismat ka faisla jana aur khamosh ho gya ..!! Na kuch kehta tha na kerta tha par aaj phir sey wohi ik umang wohi ik nasha wohi ik jadoo sa'r charh ker bolney laga ... Wo jadoo key jis ki waja sey main ALLAH key ghar main khara ho kar bhi tumhein hee mangta ja raha ..... Kisi hawa key jhonkey ki man'ind tumhari khushbu jab fiza main pheli to main jaan gya key tumhi ho .... Ik nazar jo utha kar tumhein dekha to maan gya key tumhi ho wohi ch'anchal shokh andaz tumahra wohi haya main dooba hua mausoom sa chehra tumhara .. .. Wohi jhuki jhuki si palkein wohi khud main simat jana tumhara .. ...Wo b'al khati zulfein aur us per qayamat si ik muskan .. ..... ik baar phir sey bha gya mujh ko wo manzar wo nazara ........ Tumhara baaton baaton main yun khamosh reh jana ..... sab ki nazron sey khud ko bachana wo zulfon main unglian phaer ker honton per ik muskan jagana wo chori sey chupkey sey meri baaton ko dheyan main lana ...... Hasna hasaana aur phir has ker sochon main doob jana ..... bheer main khud ko yun tanha tanha ba'tlana ... ... Haan ye wohi manzar tha jis ney aaj phir sey meri soyee qismat ko jagney ki umeed dilai ..!! Ab betha apjney kamrey ki chaar deewari main apney hathon ki lakeeron main tumahra naam dhoond raha hoon main .... mujhey dikhai nahi deyta par talash main hoon key wo ik lakeer jo tumharey naam ki ho mil jaye nahi to khud qismat ki lakeeron sey hee chura loon tum ko dil main basa loon main apna bana loon .. par kya karon sab khokhla sa hey meri b'adbakhti ka andhera is roshan hui ik kiran ko bhi da'ba he dey ga ....kahin na kahin ye khawab ik khawab hee reh jaye ga ..... ye dar ye khauf mujhey kashmakash main daley hey ..... aur tum shayad kahin bohat dooor ja rahi ho ..... haath thaam ker rokna bhi chahta hoon aur kar bhi nahi pata ..!!! Kasee b'adbakhti hey ye Suno...! - ~*Amna*~ - 03-20-2006 Hmmmmm >D< koi bad'bakhat ya bad'kismat nahin hota ![]() Suno...! - $@GH@R - 03-27-2006 :rose V.NICE WORK DEAR :rose Suno...! - Kanch Ka Dil - 10-05-2009 jub Allah k gher mai kharey ho ker manga tha ... tu phir badbakhti kasi.......... lakeeron mai kiun tilash hai ...... just yaqeen us zat pe jis se manga tha bahut umdah likha hai .... khush rahiye :dua |