![]() |
kuch sochain uLjhi suLjhi si ...! - Printable Version +- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443) +-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4) +--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790) +---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80) +----- Forum: Shagufta Basit (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=722) +----- Thread: kuch sochain uLjhi suLjhi si ...! (/showthread.php?tid=73849) |
kuch sochain uLjhi suLjhi si ...! - imported_naz - 03-19-2006 Main hasb-e mamool o hasb-e aadat kamrey k ain wast main farash pe phasakkar marey bethi thi... dahni taraf shairi ki do chaar kitabain rakhi hoi thee.n, baaee.n taraf chand aur kitabain rakhi hoi theen... per kuch parhney main jee nahi lag raha tha ..... ajab wehshat ka alam tha.... dill ki dharkan jaise dill ki azlaati dewaroo.n sey zor zor sey sar takra rahi thi.... aur is bhonchaal sey ghabra kar dill seeney sey bahar nikal aaney ko betaab tha.... samney kaii kaghaz bikhrey howe they ... kuch maror k muranda baney howe aur jo baaqi sahi salim they un pe aarhi tirchi lakeerain itni zor sey khainchi gaee.n thee.n k khaghaz jaga jaga sey zakhmi ho gaya tha .... bas un k cheeth'rey bikhrney ki dair thi.............. din aur raat ko milaney wala ye waqt..... qareeb-e ghouroob-e aftaab ka waqt hamesha hi mujh per aisi kafiyat taari kar diya karta tha... per aaj sey pehley tu aksar hi main apni is kafiyat pe qaboo paney main kamiyaab ho jaya karti thi.......... kabhi kisi soch ki udher bun main tu kabhi guzrey lamhoo.n , maheenoo aur saloo.n k sod-o zayaa.n ka hisaab kitaab main ..... per aj tu jaise ye dill sarey behlawoo.n ka hisaab be-baak karney k der pe' tha ye mera dill k howa bais-e wabaal mujhe......................... aik wo dor bhi tha jab aqal ki ungli thamey chalney k ghoroor main Main dill ko ghaas hi na dala karti thi........ bal k agar kisi k munh sey dill totna, dill bhar ana, dill tukrey tukrey o jana... dill aa jana jaie mahawarey sunti tu be-naqat sunaya karti thi k bhaee dill ka kaam mehez jism ko khoon pohanchana hai .... kisi pe ana jana torna jorna is k bas ka rog nahi............. shaid isi tamaskhur ki saza k tur per Khuda nay merey muth'thi bhar dill ko gehraai ata kar di......... itni gehraai k khud bhi jhanko tu chakra jaoo.n kisi aur k jhankne ka tu sawal hi paida nahi hota......... koi jhankey bhi tu kyu ... aur kisi ko jhankney doon bhi tu kyu? k ye wahid cheez hi tu meri apni hai ... warna tu na tan apna na dhan..... waise sciencedanoo kii is baat sey bhi mujhe shadeed ikhtaaf ho gaya hai k dill k mehez chaar khaney hain..... merey saath tu aisa nahi hai... kai aik khaney hain... un-ginat do chathiyaa.n..... minber... dar darechey sab hi tu hian yahan.......... aur kitne hi log hain jo yahan muqeem hain.......... aik jahaan hai... aik jahan-e rang-o bo aur wo kehtey hain k mehez chaar khaney .......... is main jo log muqeem hain wo roz dill sey ankh aur ankh sey anso ka safar kartey hain... per phir bhi isi main rehtey hain........... log kehtey hain k ehel- dill ka mazhub wahdaniyat pe mabni hai .... ehel-e dill bereh'mun nahi howa kartey k kai aik butt saja rakhey mun mandir main wo tu aik but ko minber pe betha detey hain otaar ka darja detey hain ... aur usi sey dill ki kutiya aabad kar rakhtey hain........ per humain is baat sey kisi hud tak ikhtilaaf hai.... minber pe bithana alag baat per is jahaan-e rang o bo sey innkaar karna tu jhoot hai na .... ye tu wo jahan hai jis k mousam bhi apney hain.... jis ki abo hawa bhi apni hai ,.....jis k makeen bhi apney hain aur jis k bhaid bhi apney hi hain....... mun bagiya k bhed na kholo, sair karo khamosh rahooooooooooooo kuch sochain uLjhi suLjhi si ...! - $@GH@R - 03-27-2006 :rose V.NICE WORK DEAR :rose kuch sochain uLjhi suLjhi si ...! - king of kuwait - 08-11-2006 Nice one thanks for sharing |