![]() |
Toheen E Mohabbat...! - Printable Version +- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443) +-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4) +--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790) +---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80) +----- Forum: Abdul Basit (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=721) +----- Thread: Toheen E Mohabbat...! (/showthread.php?tid=73808) |
Toheen E Mohabbat...! - imported_naz - 03-19-2006 Pichlay maah zindagi kay aik talkh tajurbay say guzrnay ka ittefaq hoa... maira aik baray hee payara sa dost howa karta tha.. woh sahib lafaz e mohabbat kay aseer hoo gai.. magar baad mein jaisay unhoon nay iss jazbee kay naqoosh ko mas'kh kiya.. woh waham o gumaan say bahir tha.. kai dinoon tuk tu ussi sany'hay nay apnay hisaar mein liya.. phir socha.. kay.. yeah jo Loug Mohabbat kartay hain, kehtay hain hum ko ishq hoo gaya .. Mohabbat hoo gai.. Kiyon nahi samjhtay aky.. Mohabbat tu Ibadat hai.. Ayzaaz hai.. Naimat hai.. Chahay jaana aur kissi ka millna jisay aap shidatton kay sath chahain naseeb ke baat hai.. mein apni baat kaya karoon.. haal insha sa hai ik jhooli hai aur soo chaid hain... magar zindagi kay safar mein jo manzilain tay keen.. kayee lougoon say milla... kayi kahaniyaan parheen.. kuch khawb sunay.. chand sarab daikhay.. yadoon kay jazeeroon pay.. kitnay hee gulaab ugay.. dil nasheen... khush badan pari sourat chehroon kay.. magar iss safar mein kai baar kuch aisay loug bhi millay.. jin ko lakh chaha bhula na sakkay.. yeah jin ke baat kar raha hoon yeah bhi abhi kal hee ke baat jaisi hai.. ik musafir sa milla.. sahiloon ke baat karnay walla.. jheel mein kankar phaink kay jheel ke udaasi pay dukh likhnay walla.. lafzoon mein phool jarnay walla.. kanoon mein russ ghoolnay wallay.. mohabbat kay geet ganay walla.. kissi saye sa laga .... Dil say dua nikli kabhi nazar na lagay.. par shaid dair hoo chuki thi.. who shakas... rastoon ko peechay choorta.. manziloon ke khawahishoon mein andha dhund bhagtay bhagtay apni beenayee hee khoo chuka tha.. behra hoo chuka tha.. who gulaboon ke baat karnay walla.. kharoon ke khaiti boo raha tha.. thandi chaoon say uth kay kari dhoop kay safar pay nikal para tha.. ik sarab kay sehar mein jakra kissi ma'mool jaisay.. bhaag raha tha.. apnoo ko choor kay.. aaj bhi khoon uss ka pukaar raha hai.. woh sun kay nahi daita magar.. hawis hai koi ... yeah kaya jazba hai hai.. jis ko woh shakhas naam e mohabbat daita.. apnay hee asaas say apnee hee zameen say ukhar gaya hai.. who maa jo wastay iss ke khushi kay hazaar manatain magti rahi na murad kar gaya hai uss ko hee... faqat iss lafz e mohabbat kay wastay.... aisay loug bhala kab muraad patay hain na murad ho kay rahay ga.. who sach ke tasheer karnay walla.. ik khawb ko sach karnay kay wastay kitnay jhoot boo gaya hai.. kaisay kaisay payroon kay chahray khoo gaya hai.. ho na hoo woh naam e mohabbat pay toheen e mohababt karnay walla na murad he rahay ga.. woh shakhas jo taskeen e mohabbat darhaqeeqat nafas kay wastay.. toheen e mohabbat kar raha hai... kitna chaha tha mein nay who asmanoon ke baat karnay walla.. kaheen pastiyon mein na giray.. par koun rook sakta hai.. kahaan ruka woh.. woh sahiloon pay jo meeloon mairay saath chala tha.. woh aaj bhi sahiloon kee sair pay hee.. kitna alooda lehrain hain magar aaj iss behar kee.. kiss kadar ghalztoon mein para howa hai woh aaj.. kaisay paaye ga woh toheen e mohabbat karnway wala apni muraad.. aaj uss ko gai howay ik maah guzarnay ko aaya hai.. aur soch raha hoon.. woh kiss haal mein hoo ga.. aaj uss ka naam daikha aik jagaah pal bhar ko.. tamaam yaddain taaza hoo gaiyeen.. sab kuch yaad aa gaya.. woh baz'gashat jo woh apnay peechay choor gaya tha.. woh jo madham hootay hotay khatam hoonay ko thi.. kaisay goonj uthi hai phir say.. woh shakhs.. jo mujh ko lafaz e mohabbat say nafrat ka dars dai gaya... woh shakhas.. kis haal mein hoo ga aaj.. sochta hoon kaya woh aaj bhi shaad hoo ga.. woh ik murad kay wastay apnay khoon say baghawat karnay walla.. kis haal mein hoo ga.. sooch raha hoon.. kaya mohababt yeahi dars daiti hai humain.. kay nafas kay agay ghutnay taik do.. itnay kamzoor hoo jaoo kay apni zameen say baghawat kar doo.. apnay khameer ko jhutla doo.. apni khudi ke tajarat kar loo.. kaya yeahi dars daiti hai.. kaya mohabbat mehboob kay liyeah woh jin kee ankhoon ka aap tara hain.. un kay armaanoon pay shab khoon marna hai.. kaya yeahi hai mohabbat.. yeah tu sara sar toheen mohabbat hai.. kaya kabhi toheen e mohabbat karnay wallay bhi baa muraad rehtay hain ??? Toheen E Mohabbat...! - $@GH@R - 03-27-2006 :rose V.NICE DEAR :rose Toheen E Mohabbat...! - king of kuwait - 08-11-2006 V.nice Dear ..... |