Hallagulla - Virtual Home for Real People
ALiF Aana...! - Printable Version

+- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443)
+-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4)
+--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790)
+---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80)
+----- Forum: Abdul Basit (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=721)
+----- Thread: ALiF Aana...! (/showthread.php?tid=73803)



ALiF Aana...! - imported_naz - 03-19-2006

~**...Alif Anna...**~



Anna sab mein hooti hai.. kuch iss kay chootay chootay ghonsloon mein rehtay
hain tu kuch Iss ka Taj Mehal bana kay zindagi guzzar daitay hain... Taj
Mehal Mohabbat ke alaamat hai.. Duniya kay ajooboon mein say aik ajooba..
Jitni mohabbat ka gaara (matee) is ke tameer mein shamil howa us say kaheen
ziada tu gharoor e zar bar'o e kaar laya gaya... Duniya iss ko qabil e
sataish nazar say daikhtee hai... magar un ghreeb ma'amaroon ka khoon jo iss
ke tameer mein kharch howa.. uss kay nishaan kissi ko nazar nahi aatay.. Jo
baat tareekh ka hissa bani woh yeahi kay jo bhi hai mohabbat ka phailaoo
hai..!! Iss phaylaoo nay magar kitni janoon ka khiraaj liya uss ka kaheen
zikar nahi..!! Ik shakhas nay apnay jazba e mohabbat kay zair e asar kitnee
ahoon ko boya un ka hisaab kaheen nahi..!!

Insaan ke takhleeq shukast o raikhat ka izhaar hai.. aik wahid khuliyeah say
wajood mein anay wala yeah asharf ul makhlooq mukhtalif mousmoon say guzar
kay munfarid shakhsiyaat ke tameer karta hai.. kai mehal tameer hotay hain
aur kayee gharoonday tooot jatay hain..!! un mein say aik Anna ka Taj
Mahal
hota hai..!!

Insaan jab ta'sub ke ainak pehan laita hai.. jab khud pasaandee aur khud
gharzee ka zahar us kay khoon mein shamil hoo jata hai tu us ko apna chaak
garaibaan nazar nahi aata.. magar jo milta hai woh barhana sar dikhaee daita
hai.. buraiee achaee say janam laitee hai.. aur achaee buraee ke kookh mein
paltee hai hai.. koi shakhas acha ya burra nahi hoota.. haan magar kuch
amaal.. achay burray hotay hain.. otherwise yeah jo loug title gallay mein
sajaye phirtay hain.. yeah jo tamghay seenay pay sajay akartay hain.. in ke
auqat kissi tarhaan bhi mujh say tum say barh kay ya ghat kay nahi hai..!!
humaray wajood waqat kay paiyeah pay chipkay howay hain.. kabhi hum uchaal
kay iss chaltay pahiyeah kay opar charh jatay hain.. aur kabhi thookar kha
kay phisaal kay neechay aa jatay hain.. yeah silsala sadiyoon say aisay hee
chal reha hai..!!

Baat anna ke hoo rahi thi..!! Mein zatee toor pay yeah samajhta hoon kay..
Anna buree cheez nahi hai.. agar iss ke jarrain khudi ke zameen mein hoon..
haan magar jab hawaoon mein is ke tameer hooti hai tu yeah akaas bail ke
tarhaan insaan kay haray bharay shajar aisay badan say lipaat kar uss ko
zard mousamoon mein dhakail daita hai..!!

Mairay kuch dost kehtay hain kay AnnA kay taj mehal ko kankar maar kay
chikna choor kar daina chahiyeah... magar mujhay ab tuk koi aisa shkhaas na
mill saka jo khud ko daikh sakay kissi saharay kay bina.. aap apna suragh
chahain bhi tu baghair kissi wastay kay nahi paa saktay.. Iss talaash mein
iss khoooj mein aap kissay wasta banatay hain.. yeah us wastay pay munhasir
hai kay woh kitna qavi hai.. aur aap ke tameer mein aap ka kitna sath daita
hai.. agar tu aap kay saray wastay aap kay hee taj mehal kay rakhwalay
hoon.. uss ke tareef mein zameen asmaan aik karnay wallay hoon tu... aap
tamaam umar kounwain kay mandak kay jaisay zindagee guzaar daitay hain...
aur un lougoon ko jo kabhi kabhaar iss kounain mein kankariyaan phainktay
hain.. un ko bura bhala kehtay rehtay hain.. magar aap ke parwaaz e khayaal
ussi kounain kay sayaah dairay ka chakkar lagatay guzar jatee hai..!!

Agar kabhi khud ko samajhna chahoo... agar kabhi iss Anna kay Taj mehal say
nikal kay asmanoon ke zameen pay qadam rakhna chahoo.. agar kabhi khud say
milna chahoo tu woh awazain jo kaan ko nagawar guzartee hain.. un ko
sunan'nay ka hosla paida karoo.. khamooshi say baat karoo.. woh tum ko
tumhara naam batayee gi... uss wastay ke talaash karoo jo dasht mein sirf
tum say milnay aya hai.. koi ghar tameer na karoo.. tumhara badan hee
tumhara ghar hai.. iss mein khuda rehta hai.. uss say millo uss say baat
karoo.. wohi tumhara wahid wasta hai.. baki saray heelay hain bahanay hain..
!!



ALiF Aana...! - $@GH@R - 03-27-2006

:rose V.NICE DEAR :rose


ALiF Aana...! - king of kuwait - 08-11-2006

V.nice Dear .......