![]() |
Pakistan Squaq for Zimbabwe - Some surprises - Printable Version +- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443) +-- Forum: Discussion Forum (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=3) +--- Forum: Sports & Games, Jokes & Riddles (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=647) +--- Thread: Pakistan Squaq for Zimbabwe - Some surprises (/showthread.php?tid=338677) |
Pakistan Squaq for Zimbabwe - Some surprises - Adeel - 07-30-2011 Pakistan squad: Misbah-ul-Haq (capt), Mohammad Hafeez, Taufiq Umar, Imran Farhat, Azhar Ali, Younis Khan, Asad Shafiq, Umar Akmal, Rameez Raja junior, Adnan Akmal (wk), Saeed Ajmal, Yasir Shah, Sohail Tanvir, Sohail Khan, Junaid Khan, Aizaz Cheema. Standbys: Sarfraz Ahmed (wk), Khurram Manzoor, Sharjeel Khan, Mohammad Talha, Hammad Azam, Shoaib Malik Team hameesha ki tarah phir kuch surprises nazar a rahy hain. Aizaz cheema jo iss waqt 33 years ko ho chuky unko team me shamil kia gaya young blood keh kar, 33 saal k fast bowler ki cricket baaqi reh jaati he. waja sirf aur sirf governing board k ek rukan ka israar. Yasir Shah - iss se kahin ziada effective bowler mojod hain jinho ne domestic me perform bhi kia, lekin kia karian k governing board k ek doosry rukan ko bhi tau khush karna baaqi tha na aur hamary sab k piyare Imran Farhat - Allah jany k konsy surhab k par lagy hain jitny chance in bhai ko mily hain shaid hi kisi player ko mily ho, lekin yeh bhi kamal zid kiye bethy hain k score v nahi karna, cath v chorny hain aur khelna bhi he. selectors kehty hain unki last effeciency ko dekh k select kia he . aur wo performance kia thi poory season me 307 runs, kamal score nahi he wesy. o payee jaan masoof k susar muhtaram selection team ka hissa hain aur inhi ki badoolat Afridi sb ko ghar bhi jana para he k wo inko team me leny k liye tayar nahi hoty thy. aur akhir pe Shoaib malik jis pe tuhmato ke pahar thy aur ek dam itna pawaitar kesy ho gaya, tau saaf si baat info ministry ki asheerbad aur PM sahib k bety ka yarana kis din kaam ayee ga aur Akmal family tau wesy hi hold kiye bethi hain, samgh nahi aata k pakistan me shaid wicket keeper akmal family k siwa peda hony bandh hogayee hain shaid Pakistan Squaq for Zimbabwe - Some surprises - Raigaan - 07-31-2011 Bhai jee imran Farhat aik acha player he or us ki halia karkardagi b bohat umdaa rehi he, but cricket ground men nehin balky commentry enclosure men :hehe Ilyas sahab shayed isi karkadgi ka zikar kr rehy hon gy k un k damaad nen commentry kr k bohat kuch seekha he ![]() Pakistan Squaq for Zimbabwe - Some surprises - I Am In Love - 07-31-2011 Aaj Kal Siasi Cricket Ho Rahi Hay ... Pakistani Cricket Team Main ... Pakistan Squaq for Zimbabwe - Some surprises - imranpak3 - 08-01-2011 Adeel Wrote:Pakistan squad: Misbah-ul-Haq (capt), Mohammad Hafeez, Taufiq Umar, Imran Farhat, Azhar Ali, Younis Khan, Asad Shafiq, Umar Akmal, Rameez Raja junior, Adnan Akmal (wk), Saeed Ajmal, Yasir Shah, Sohail Tanvir, Sohail Khan, Junaid Khan, Aizaz Cheema. squad bazhir to theek hai zim ke team ke lye .... cheema sahb ne kafi ache bowling ke hai season mai is wajha se team mai hai imran ka ap ne bata dya woh kis wajha se hai .jo player performance deta hai woh team mai rehna chahye test mai to chalo age ka factor count nahi kerta laikan odi mai age factor banta hai . akmal family ke itne bhai hai ke souch ho ge ap ke is lye woh koi na koi new bhai ko chanse dete rehte hai :p .... i think ke sarfraz acha batsman hai adnan se laikn zim ke team kiyoon ke halke hai is lye shayd adnan ko chanse de rahe hai bakie yeh pakitsani cricket aise hi hai jis ka jaha daa lagta hai woh ker jata hai aur pcb ke chair man sahb ko kis ke asheerbad hai yeh ap ko bhi pata hai .... jab tak marit pe kam nahi ho ga pakistani cricket aise hhi rehne hai hum bus yeh keh ker apna hi khoon jalate rahe ge aur kuch nahi ho ga ![]() Pakistan Squaq for Zimbabwe - Some surprises - Adeel - 08-02-2011 @ Raigaan, yeh bhi you ne sahi kaha, lekin yaar uss k otau angreezi bhi nahi bolni aati ![]() @ I am in Love, bhai aap bilkul sahi keh rahy hain @ Imranpak3.. tussi te paa g chaa gayee ho sara din ki match hi vekhdy rehndy ho |