![]() |
Afsana Meri Khamshi Ko Jo Zuban Mile - Printable Version +- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443) +-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4) +--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790) +---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80) +----- Forum: Rapunzel? (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=744) +----- Thread: Afsana Meri Khamshi Ko Jo Zuban Mile (/showthread.php?tid=308149) |
Afsana Meri Khamshi Ko Jo Zuban Mile - Rapunzel - 03-04-2011 [COLOR="#4b0082"]Assalam o Alaikum
"Aik chup hazaar sukh" ye baat yaqeenan ap sab ne suni ho gi lekin baaz auqat aik chup hazaar dukh ka saman ban jati hai.. Bahir barish aik tasalsul se barse ja rahi thi aur andar kamre main kursi pe aik sakin wajud betha tha. Waqfe waqfe se hawayain band khirkiyun pe dastak daiti aur koi jawab na pa kar agay barh jati. Ye dastak aur hawa ka barhta shaur bi andar bethe shakhs ko apni tarf mutawaju nai kar paye the. Yaadun ki qaid main jakre admi ko zaman-o-makan ki kya parwa hoti hai,aik pal ka dukh ab sadiyun pe phail gya tha aur is ki shiddat har barish main pahle se taiz tar hoti thi. Boodun ki awaz ab bi arahi thi, aik siski usk maun se nikli thi ye barish kyun hoti hai.. Dhair si nami ankhun main phailne lagi thi k isk siwa koi chara na tha. Aik jeete jaagte wajood ka ahsaas mazeed barh gya tha,main janta hun tumhain barish bohat pasand hai us din se ab tak mere andar ye barish tehar gyi hai khudara mujhe aik martaba iqraar karne do sirf aik martaba.. Us wajood ki ahat holay holay mad'um hoti ja rai thi,kursi se uththe hue us ne saye ko apni girift main lena chaha magar guzra lamha aur beeti yadain muthi main bhala kaise muqeed hotin? Bijli ki chamak se sara mahool roshan hua tha,behte qatrun ne aik nazar andar bethe admi pe dali thi. Us shakhs ki umar 45-50 k lag-bag thi, chehre pe halki si dard ki chamak,roshan ankhain aur chauri peshani usk aala naseeb ki gawahi daite the. Haan wo bohat kamyaab shakhs tha,us k pas biwi bachay aur dunyawi naimatain thi bus aik khalish thi jis se chutkara nai milta tha. Muhabbat ki choti si lau jo kabhi aik nanhe se dil main jalti thi ab bujh chuki thi. Us lau ki hararat ne kitne saal is wajood ko zinda rakha tha aur shayad khush bi.. Kahte hain mard k lye muhabat ki koi umar,waqt ya zanjeer nai hoti ye zanjeer na bewi dal sakti hai na koi aur rishta. Aik pal k khail main jub khuwab dayo pe lagte hain tu ankhain banjar ho jati hain. Bohat arsa pahle is ik pal ki girift se khud ko bachane k lye wo tamam kashtiyan jala aya tha. Bohat se dil torrne se behter tha aik dil tor dya jata aur us ne bi yehi kya.. Akhri martaba us saye se milte hue us ne apne alfaaz samait lye the,bohat bewaquf si larki thi wo jo duayun se barhte hue lafzun main aa tehri thi. Barish ki shauqeen, zara zara si baat pe roth kar khud hi maan jane wali,bohat jazbati aur qadre ahmaq.. Wo lafz bunti thi magar wo lafz usk sathi nahi ban paye, jate waqt agr do chaar alfaaz ka khazana usk hath pe dhar ata tu shayad wo larki aaj saya na banti. Baaz auqat khamoshi bohat taqleef day hoti hai, hamari rooh tak ko chaid dalti hai,alfaz marham ban jate hain aur khamoshi gahre ghao. Wo bohat sawal karti thi magar har sawal k jawab pe jub khamoshi khanakti tu uski ankh k goshe nam se ho jate the. Akhri bar wo is khamoshi se samjhota kar gyi thi, jub koi lafzun ki bheek bi na day tu apne jazbun ko kanch k sanduq main qaid kar dena chahye takay wo jazbay kanch ki maut sehne ki jaga chup ki maut mar jayain. Hum apne se wabasta logon ko kayi martaba alfaz k nishtar chabotay hain laug kahte hain alfaz se bara zakhm koi hathyar nai daita lekin us larki ne kaha tha sub se mohlik hathyar khamoshi hai jo rooh ko aik jhatkay main maar deti hai. Aik shaam bohat chupkay se wo ye khamoshi samait kar chali gyi thi, koi sada koi lafz usko wapis nai laye. Wo kahti thi main aik din chali gyi tu mujhe koi na dhundh paye ga,sach kaha tha bohat.. Barish ki bondun main uski bewaqufana si batain khud bakhud yad ati hain,jheel k pani main dolta chand,jaga jaga khilte phool sub apni apni jaga pe qaim hain bus wo zaat nai.. Kya ap ne kabi khamoshi ki maut suni? Nhi na ho sake tu us se puchye ga jo hamaray darmayan ho kar bi maujood nahi. Kash Aisa Ho K Ab Kay Bewafai Main Karoon Tu Phire Koocha Ba Koocha,Koh Ba Koh Mere Lye Main To Lahmahdood Ho Jaon Sumandar Ki Tarha Tu Bahay Dirya Ba Dirya, Joh Ba Joh Mere Lye..[/COLOR] Afsana Meri Khamshi Ko Jo Zuban Mile - Anghraizi-Brat - 03-06-2011 Andaaz bohut acha lagha.
Zaberdast, dilchaspi ke sath parha hai. Khush raiye, likhte raiye. |