Dua Karna Sikha Kar
Bad’Dua Ho Jaaney Waaley
Tujhe Kya Kahen?
Wafaa ka Raaz Samjha Kar
Beywafaa Ho Jaaney Waaley
Tujhe Kya Kahen ?
Humain Anaa Bhoola Kar
AanaaParast Ho Jaaney Waaley
Tujhe Kya Kahen?
Muhabbat K Dawedaar Ho Kar
Dagha Dene Waaley
Tujhe Kya Kahen ?
Saath Rehne Ka Wadah Kar K
Judaa Ho Jaaney Waaley
Tujhe Kya Kahen?
Rehaiya.n Apna Muqadar Kar K
Humare Liye Ik Sazaa Ho Jaaney Waley
Tujhe Kya Kahen?
Tujhe Kya Kahen Hum?
Bad’Dua Kahen To Kis Tarha?
Haath Uthate Hi Teri Surat Nigaho.n Mein Ghoom Jaati Hai
BeyWafa Kahen To Kis Tarha?
Nigah Pher Lene K Hunar Se To Waqfiyat Nahi Rakhi Tu Ne Kabhi
AanaaParast Hai Tu Yeh Kahen Kaye?
Manaa Lene K Sare Gun To Sambhaal Rakhte The Tu Ney
Dagha De Diya Hai Yeh Maan Lein Kis Tarha?
Sach K Paighaambar Baney Soch Ki Dehleez Par Chupke Se Qadam Rakh Dete Ho Shaam Dhaley
Judaa Ho Gaya Hai Hum Se Tu Maan Lene Ko Dil Maanta Nahi.n
Kuch Din Hi To Howe Tu Saath Tha Saye Ki Tarha
Saza Ho Gaya hai?
Haan Bas Yehi Eik Baat Keh Dene Ko Baqi Reh Gayi Hai
Humari Dua’on Aur Wafao’n Ka Kuch To Diya Hai Tum Ney Silah …………….
Silah Dene Waaley
Tujhe Kya Kahen ?